jo samundar hamein ghanghor ghatta deta hai
wahi qatron ko bhi dariya se mila deta hai
jiddat-aamoz zamaana hamein kya deta hai
raah ki dhool samajhta hai uda deta hai
muflisi kitni tadap uthati hai betaabi se
aa ke sail jo kabhi dar pe sada deta hai
zabt ka ped ghana dil mein lagaaye rakhna
ye ghana ped sada thandi hawa deta hai
tah mein jaaoge to moti bhi milenge tum ko
bulbulaa saare khazaane ka pata deta hai
chain se rehta hai buniyaad ka patthar ejaz
zalzala unchi imarat ko gira deta hai
जो समुंदर हमें घनघोर घटा देता है
वही क़तरों को भी दरिया से मिला देता है
जिद्दत-आमोज़ ज़माना हमें क्या देता है
राह की धूल समझता है उड़ा देता है
मुफ़्लिसी कितनी तड़प उठती है बेताबी से
आ के साइल जो कभी दर पे सदा देता है
ज़ब्त का पेड़ घना दिल में लगाए रखना
ये घना पेड़ सदा ठंडी हवा देता है
तह में जाओगे तो मोती भी मिलेंगे तुम को
बुलबुला सारे ख़ज़ाने का पता देता है
चैन से रहता है बुनियाद का पत्थर 'एजाज़'
ज़लज़ला ऊँची इमारत को गिरा देता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Manpuri
our suggestion based on Ejaz Manpuri
As you were reading Samundar Shayari Shayari