saraab-o-dasht wahi saarbaan teesra hai | सराब-ओ-दश्त वही सारबान तीसरा है

  - Faisal Nadeem Faisal

saraab-o-dasht wahi saarbaan teesra hai
safar ke saath bandha imtihaan teesra hai

huzoor fahm-o-faraasat se kaam leejiyega
sadak ke maghribi jaanib makaan teesra hai

ye do jahaan se aage ki ek manzil hai
ata-e-ishq-e-mohammad jahaan teesra hai

azal abad ke nishaan zindagi ke haami hain
tabaahiyon ki ibaarat nishaan teesra hai

ham is se pehle bhi guzre hain imtihaanon se
padaav pehla sahi imtihaan teesra hai

ye dono kaan to deewaar ki amaanat hain
jo intiha-e-yaqeen hai vo kaan teesra hai

main dhoop odh ke nikla to ye khula faisal
yaqeen doosra mausam gumaan teesra hai

सराब-ओ-दश्त वही सारबान तीसरा है
सफ़र के साथ बँधा इम्तिहान तीसरा है

हुज़ूर फ़हम-ओ-फ़रासत से काम लीजिएगा
सड़क के मग़रिबी जानिब मकान तीसरा है

ये दो जहान से आगे की एक मंज़िल है
अता-ए-इश्क़-ए-मोहम्मद जहान तीसरा है

अज़ल अबद के निशाँ ज़िंदगी के हामी हैं
तबाहियों की इबारत निशान तीसरा है

हम इस से पहले भी गुज़रे हैं इम्तिहानों से
पड़ाव पहला सही इम्तिहान तीसरा है

ये दोनों कान तो दीवार की अमानत हैं
जो इंतिहा-ए-यक़ीं है वो कान तीसरा है

मैं धूप ओढ़ के निकला तो ये खुला 'फ़ैसल'
यक़ीन दूसरा मौसम गुमान तीसरा है

  - Faisal Nadeem Faisal

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Nadeem Faisal

As you were reading Shayari by Faisal Nadeem Faisal

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Nadeem Faisal

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari