ham dekhenge | हम देखेंगे

  - Faiz Ahmad Faiz

ham dekhenge
laazim hai ki ham bhi dekhenge
vo din ki jis ka vaada hai
jo lauh-e-azl mein likhkhá hai
jab zulm-o-sitam ke koh-e-giraan
rooi ki tarah ud jaayenge
ham mahkoomon ke paanv-tale
jab dharti dhad-dhad dhadakegi
aur ahl-e-hukm ke sar-oopar

jab bijli kad-kad kadakegi
jab arz-e-khuda ke kaabe se
sab but uthwaaye jaayenge
ham ahl-e-safa mardood-e-haram
masnad pe bithaaye jaayenge
sab taaj uchaale jaayenge
sab takht giraaye jaayenge
bas naam rahega allah ka
jo ghaaeb bhi hai haazir bhi
jo manzar bhi hai naazir bhi
uthhega anal-haq ka naara
jo main bhi hoon aur tum bhi ho

aur raaj karegi khalk-e-khuda
jo main bhi hoon aur tum bhi ho

हम देखेंगे
लाज़िम है कि हम भी देखेंगे
वो दिन कि जिस का वादा है
जो लौह-ए-अज़ल में लिख्खा है
जब ज़ुल्म-ओ-सितम के कोह-ए-गिराँ
रूई की तरह उड़ जाएँगे
हम महकूमों के पाँव-तले
जब धरती धड़-धड़ धड़केगी
और अहल-ए-हकम के सर-ऊपर

जब बिजली कड़-कड़ कड़केगी
जब अर्ज़-ए-ख़ुदा के काबे से
सब बुत उठवाए जाएँगे
हम अहल-ए-सफ़ा मरदूद-ए-हरम
मसनद पे बिठाए जाएँगे
सब ताज उछाले जाएँगे
सब तख़्त गिराए जाएँगे
बस नाम रहेगा अल्लाह का
जो ग़ाएब भी है हाज़िर भी
जो मंज़र भी है नाज़िर भी
उट्ठेगा अनल-हक़ का नारा
जो मैं भी हूँ और तुम भी हो

और राज करेगी ख़ल्क़-ए-ख़ुदा
जो मैं भी हूँ और तुम भी हो

  - Faiz Ahmad Faiz

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari