kuchh baat nahin jism agar mera jala hai | कुछ बात नहीं जिस्म अगर मेरा जला है

  - Fakhr Zaman

kuchh baat nahin jism agar mera jala hai
sad-shukr ki us bazm se shola to utha hai

maana ki mere lawn ki phir sabz hui ghaas
is meh mein padosi ka makaan bhi to gira hai

sardi hai ki is jism se phir bhi nahin jaati
suraj hai ki muddat se mere sar par khada hai

har samt khamoshi hai magar kahte hain kuchh log
is shehar mein ik shor qayamat ka bapaa hai

deewaar se go eent khisak kar padi sar par
sad-shukr ki rozan koi zindaan mein khula hai

ab dekhiye kis raah mein deewaar banega
dhalvaan pe ik sang-e-giraan chal to pada hai

is saal mere khet mein ole bhi pade hain
is saal meri fasl ko keeda bhi laga hai

aankhen meri raushan rahein khush-haal rahoon main
ik andhi bhikaaran ki mere haq mein dua hai

main bhook se behaal hoon to ser-shikam hai
kya mera khuda vo nahin jo tera khuda hai

कुछ बात नहीं जिस्म अगर मेरा जला है
सद-शुक्र कि उस बज़्म से शोला तो उठा है

माना कि मिरे लॉन की फिर सब्ज़ हुई घास
इस मेंह में पड़ोसी का मकाँ भी तो गिरा है

सर्दी है कि इस जिस्म से फिर भी नहीं जाती
सूरज है कि मुद्दत से मिरे सर पर खड़ा है

हर सम्त ख़मोशी है मगर कहते हैं कुछ लोग
इस शहर में इक शोर क़यामत का बपा है

दीवार से गो ईंट खिसक कर पड़ी सर पर
सद-शुक्र कि रौज़न कोई ज़िंदाँ में खुला है

अब देखिए किस राह में दीवार बनेगा
ढलवान पे इक संग-ए-गिराँ चल तो पड़ा है

इस साल मिरे खेत में ओले भी पड़े हैं
इस साल मिरी फ़स्ल को कीड़ा भी लगा है

आँखें मिरी रौशन रहें ख़ुश-हाल रहूँ मैं
इक अंधी भिकारन की मिरे हक़ में दुआ है

मैं भूक से बेहाल हूँ तो सेर-शिकम है
क्या मेरा ख़ुदा वो नहीं जो तेरा ख़ुदा है

  - Fakhr Zaman

Birthday Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fakhr Zaman

As you were reading Shayari by Fakhr Zaman

Similar Writers

our suggestion based on Fakhr Zaman

Similar Moods

As you were reading Birthday Shayari Shayari