ghar banaana bahot zaroori hai | घर बनाना बहोत ज़रूरी है - Fehmi Badayuni

ghar banaana bahot zaroori hai
qaidkhaanaa bahot zaroori hai

phool khilne se fal utarte hain
muskurana bahot zaroori hai

mehfileen be-sabab nahin jamti
ek fasaana bahot zaroori hai

ab ke darwaaza khud sajaaya hai
tera aana bahot zaroori hai

aasmaan mein zameen waalo ka
ik thikaana bahot zaroori hai

ab ke vo be-sabab hi rootha hai
ab manana bahot zaroori hai

kitne jinda hain hum pata to chala
zahar khaana bahot zaroori hai

sar uthaane ke vaaste fahmi
sar jhukaana bahut zaroori hai

घर बनाना बहोत ज़रूरी है
क़ैदखाना बहोत ज़रूरी है

फूल खिलने से फल उतरते हैं
मुस्कुराना बहोत ज़रूरी है

महफिलें बे-सब‌ब नहीं जमती
एक फसाना बहोत ज़रूरी है

अब के दरवाज़ा खुद सजाया है
तेरा आना बहोत ज़रूरी है

आसमां में ज़मीन वालो का
इक ठिकाना बहोत ज़रूरी है

अब के वो बे-सब‌ब ही रूठा है
अब मनाना बहोत ज़रुरी है

कितने जिंदा हैं हम, पता तो चला
ज़हर खाना बहोत ज़रुरी है

सर उठाने के वास्ते "फ़हमी"
सर झुकाना बहुत ज़रूरी है

- Fehmi Badayuni
26 Likes

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fehmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fehmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fehmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari