jaahilon ko salaam karna hai | जाहिलों को सलाम करना है - Fehmi Badayuni

jaahilon ko salaam karna hai
aur phir jhoot-moot darna hai

kaash vo raaste mein mil jaaye
mujh ko munh fer kar guzarna hai

poochhti hai sada-e-baal-o-par
kya zameen par nahin utarna hai

sochna kuch nahin humein filhaal
un se koi bhi baat karna hai

bhook se dagmaga rahe hain paanv
aur bazaar se guzarna hai

जाहिलों को सलाम करना है
और फिर झूट-मूट डरना है

काश वो रास्ते में मिल जाए
मुझ को मुँह फेर कर गुज़रना है

पूछती है सदा-ए-बाल-ओ-पर
क्या ज़मीं पर नहीं उतरना है

सोचना कुछ नहीं हमें फ़िलहाल
उन से कोई भी बात करना है

भूक से डगमगा रहे हैं पाँव
और बाज़ार से गुज़रना है

- Fehmi Badayuni
8 Likes

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fehmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fehmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fehmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari