valvale jab hawa ke baith gaye | वलवले जब हवा के बैठ गए - Fehmi Badayuni

valvale jab hawa ke baith gaye
hum bhi shamaein bujha ke baith gaye

waqt aaya jo teer khaane ka
mashware door ja ke baith gaye

eed ke roz hum fati chadar
pichhli saf mein bichha ke baith gaye

koi baaraat hi nahin aayi
ratjage ga baja ke baith gaye

naav tooti to saare parda-nasheen
saamne na-khuda ke baith gaye

be-zabaani mein aur kya karte
gaaliyaan sun-sunaa ke baith gaye

वलवले जब हवा के बैठ गए
हम भी शमएँ बुझा के बैठ गए

वक़्त आया जो तीर खाने का
मशवरे दूर जा के बैठ गए

ईद के रोज़ हम फटी चादर
पिछली सफ़ में बिछा के बैठ गए

कोई बारात ही नहीं आई
रतजगे गा बजा के बैठ गए

नाव टूटी तो सारे पर्दा-नशीं
सामने ना-ख़ुदा के बैठ गए

बे-ज़बानी में और क्या करते
गालियाँ सुन-सुना के बैठ गए

- Fehmi Badayuni
5 Likes

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fehmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fehmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fehmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari