zara mohtaath hona chahiye tha | ज़रा मोहतात होना चाहिए था - Fehmi Badayuni

zara mohtaath hona chahiye tha
baghair ashkon ke rona chahiye tha

ab un ko yaad kar ke ro rahe hain
bichhadte waqt rona chahiye tha

meri vaada-khilaafi par vo chup hai
use naaraz hona chahiye tha

chala aata yaqeenan khwaab mein vo
humein kal raat sona chahiye tha

sui dhaaga mohabbat ne diya tha
to kuch seena pirona chahiye tha

hamaara haal tum bhi poochte ho
tumhein maaloom hona chahiye tha

wafa majboor tum ko kar rahi thi
to phir majboor hona chahiye tha

ज़रा मोहतात होना चाहिए था
बग़ैर अश्कों के रोना चाहिए था

अब उन को याद कर के रो रहे हैं
बिछड़ते वक़्त रोना चाहिए था

मिरी वादा-ख़िलाफ़ी पर वो चुप है
उसे नाराज़ होना चाहिए था

चला आता यक़ीनन ख़्वाब में वो
हमें कल रात सोना चाहिए था

सुई धागा मोहब्बत ने दिया था
तो कुछ सीना पिरोना चाहिए था

हमारा हाल तुम भी पूछते हो
तुम्हें मालूम होना चाहिए था

वफ़ा मजबूर तुम को कर रही थी
तो फिर मजबूर होना चाहिए था

- Fehmi Badayuni
17 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fehmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fehmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fehmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari