meri sada hai gul-e-sham-e-shaam-e-aazaadi | मिरी सदा है गुल-ए-शम्-ए-शाम-ए-आज़ादी - Firaq Gorakhpuri

meri sada hai gul-e-sham-e-shaam-e-aazaadi
suna raha hoon dilon ko payaam aazaadi
lahu watan ke shaheedon ka rang laaya hai
uchhal raha hai zamaane mein naam-e-aazaadi
mujhe baqa ki zaroorat nahin ki faani hoon
meri fana se hai paida dawaam-e-aazaadi
jo raaj karte hain jamhooriyat ke parde mein
unhen bhi hai sar-o-sauda-e-khaam-e-aazaadi
banaayenge nayi duniya kisaan aur mazdoor
yahi sajaayenge deewaan-e-aam-e-aazaadi
fazaa mein jalte dilon se dhuaan sa uthata hai
are ye subh-e-ghulaami ye shaam-e-aazaadi
ye mehr-o-maah ye taare ye baam haft-aflaak
bahut buland hai in se maqaam-e-aazaadi
fazaa-e-shaam-o-sehr mein shafaq jhalkati hai
ki jaam mein hai may-e-laala-faam-e-aazaadi
syaah-khaana-e-duniya ki zulmatein hain do-rang
nihaan hai subh-e-aseeri mein shaam-e-aazaadi
sukoon ka naam na le hai vo qaid-e-be-miaad
hai pay-b-pay harkat mein qayaam-e-aazaadi
ye kaarwaan hain pasmandaagaan-e-manzil ke
ki raharvon mein yahi hain imaam-e-aazaadi
dilon mein ahl-e-zameen ke hai neev us ki magar
qusoor-e-khuld se ooncha hai baam-e-aazaadi
wahan bhi khaak-nasheenon ne jhande gaar diye
mila na ahl-e-duval ko maqaam-e-aazaadi
hamaare zor se zanjeer-e-teergi tooti
hamaara soz hai maah-e-tamaam-e-aazaadi
tarannum-e-sehri de raha hai jo chhup kar
hareef-e-subh-e-watan hai ye shaam-e-aazaadi
hamaare seene mein shole bhadak rahe hain firaq
hamaari saans se raushan hai naam-e-aazaadi

मिरी सदा है गुल-ए-शम्-ए-शाम-ए-आज़ादी
सुना रहा हूँ दिलों को पयाम आज़ादी
लहू वतन के शहीदों का रंग लाया है
उछल रहा है ज़माने में नाम-ए-आज़ादी
मुझे बक़ा की ज़रूरत नहीं कि फ़ानी हूँ
मिरी फ़ना से है पैदा दवाम-ए-आज़ादी
जो राज करते हैं जम्हूरियत के पर्दे में
उन्हें भी है सर-ओ-सौदा-ए-ख़ाम-ए-आज़ादी
बनाएँगे नई दुनिया किसान और मज़दूर
यही सजाएँगे दीवान-ए-आम-ए-आज़ादी
फ़ज़ा में जलते दिलों से धुआँ सा उठता है
अरे ये सुब्ह-ए-ग़ुलामी ये शाम-ए-आज़ादी
ये महर-ओ-माह ये तारे ये बाम हफ़्त-अफ़्लाक
बहुत बुलंद है इन से मक़ाम-ए-आज़ादी
फ़ज़ा-ए-शाम-ओ-सहर में शफ़क़ झलकती है
कि जाम में है मय-ए-लाला-फ़ाम-ए-आज़ादी
स्याह-ख़ाना-ए-दुनिया की ज़ुल्मतें हैं दो-रंग
निहाँ है सुब्ह-ए-असीरी में शाम-ए-आज़ादी
सुकूँ का नाम न ले है वो क़ैद-ए-बे-मीआद
है पय-ब-पय हरकत में क़याम-ए-आज़ादी
ये कारवान हैं पसमाँदगान-ए-मंज़िल के
कि रहरवों में यही हैं इमाम-ए-आज़ादी
दिलों में अहल-ए-ज़मीं के है नीव उस की मगर
क़ुसूर-ए-ख़ुल्द से ऊँचा है बाम-ए-आज़ादी
वहाँ भी ख़ाक-नशीनों ने झंडे गाड़ दिए
मिला न अहल-ए-दुवल को मक़ाम-ए-आज़ादी
हमारे ज़ोर से ज़ंजीर-ए-तीरगी टूटी
हमारा सोज़ है माह-ए-तमाम-ए-आज़ादी
तरन्नुम-ए-सहरी दे रहा है जो छुप कर
हरीफ़-ए-सुब्ह-ए-वतन है ये शाम-ए-आज़ादी
हमारे सीने में शोले भड़क रहे हैं 'फ़िराक़'
हमारी साँस से रौशन है नाम-ए-आज़ादी

- Firaq Gorakhpuri
2 Likes

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari