saaqiya ye kaam kar do | साक़िया ये काम कर दो - Gangadhar Dhoke

saaqiya ye kaam kar do
shehar mein badnaam kar do

is safar se thak chuka hoon
ab kahin to shaam kar do

is charaagh-e-raushni ko
jugnuon ke naam kar do

tum bhi ab milte nahin ho
mujhko bhi gumnaam kar do

jab qila hi rokta ho
dhoop to neelaam kar do

khil gaya hai phool koii
maali ko paighaam kar do

haar mein hai jeet sabki
to mujhe naakaam kar do

vo agar aaghaaz hai to
tum mujhe anjaam kar do

maamlaa haq ka ho to phir
shehar bhar ko jaam kar do

sochna kya jaanna kya
jurm us ke naam kar do

ghar zaroori hai takhallus
to safar upnaam kar do

साक़िया ये काम कर दो
शहर में बदनाम कर दो

इस सफ़र से थक चुका हूॅं
अब कहीं तो शाम कर दो

इस चराग़-ए-रौशनी को
जुगनुओं के नाम कर दो

तुम भी अब मिलते नहीं हो
मुझको भी गुमनाम कर दो

जब क़िला ही रोकता हो
धूप तो नीलाम कर दो

खिल गया है फूल कोई
माली को पैग़ाम कर दो

हार में है जीत सबकी
तो मुझे नाकाम कर दो

वो अगर आग़ाज़ है तो
तुम मुझे अंजाम कर दो

मामला हक़ का हो तो फिर
शहर भर को जाम कर दो

सोचना क्या जानना क्या
जुर्म उस के नाम कर दो

ग़र ज़रूरी है तख़ल्लुस
तो 'सफ़र' उपनाम कर दो

- Gangadhar Dhoke
2 Likes

Similar Writers

our suggestion based on Gangadhar Dhoke

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari