na pooch hijr mein jo haal ab hamaara hai
umeed-e-wasl hi par in dinon guzaara hai
na dekhoon tujh ko to aata nahin kuchh aah nazar
tu meri putli ka aankhon ki yaar taara hai
mujhe jo baam pe shab ko bulaaye hai vo maah
magar urooj pe kya in dinon sitaara hai
yaqeen jaan tu waiz ki deen o duniya mein
bas us ki sirf mujhe zaat ka sahaara hai
ajab tarah se nazar pad gaya mere hamdam
qayamat aah vo mukhda bhi pyaara pyaara hai
mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se
na ikhtiyaar hai us ka na mera chaara hai
kaha jo main ne pilaate ho bazm mein sab ko
magar hamein hi nahin kya gunah hamaara hai
to bole vo ki jise chahein ham pilaayein sharaab
khushi hamaari tira is mein kya ijaara hai
gaya vo parda-nasheen jab se apne ghar gamgeen
tamaam khalk se dil ko mere kinaara hai
न पूछ हिज्र में जो हाल अब हमारा है
उमीद-ए-वस्ल ही पर इन दिनों गुज़ारा है
न देखूँ तुझ को तो आता नहीं कुछ आह नज़र
तू मेरी पुतली का आँखों की यार तारा है
मुझे जो बाम पे शब को बुलाए है वो माह
मगर उरूज पे क्या इन दिनों सितारा है
यक़ीन जान तू वाइज़ कि दीन ओ दुनिया में
बस उस की सिर्फ़ मुझे ज़ात का सहारा है
अजब तरह से नज़र पड़ गया मिरे हमदम
क़यामत आह वो मुखड़ा भी प्यारा प्यारा है
मुझे जो दोस्ती है उस को दुश्मनी मुझ से
न इख़्तियार है उस का न मेरा चारा है
कहा जो मैं ने पिलाते हो बज़्म में सब को
मगर हमें ही नहीं क्या गुनह हमारा है
तो बोले वो कि जिसे चाहें हम पिलाएँ शराब
ख़ुशी हमारी तिरा इस में क्या इजारा है
गया वो पर्दा-नशीं जब से अपने घर 'ग़मगीं'
तमाम ख़ल्क़ से दिल को मिरे किनारा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghamgeen Dehlvi
our suggestion based on Ghamgeen Dehlvi
As you were reading Raqeeb Shayari Shayari