baghair us ke ab aaraam bhi nahin aata | बग़ैर उस के अब आराम भी नहीं आता - Ghulam Muhammad Qasir

baghair us ke ab aaraam bhi nahin aata
vo shakhs jis ka mujhe naam bhi nahin aata

usi ki shakl mujhe chaand mein nazar aaye
vo maah-rukh jo lab-e-baam bhi nahin aata

karunga kya jo mohabbat mein ho gaya naakaam
mujhe to aur koi kaam bhi nahin aata

bitha diya mujhe dariya ke us kinaare par
jidhar hubaab tahee-jaam bhi nahin aata

chura ke khwaab vo aankhon ko rehan rakhta hai
aur us ke sar koi ilzaam bhi nahin aata

बग़ैर उस के अब आराम भी नहीं आता
वो शख़्स जिस का मुझे नाम भी नहीं आता

उसी की शक्ल मुझे चाँद में नज़र आए
वो माह-रुख़ जो लब-ए-बाम भी नहीं आता

करूँगा क्या जो मोहब्बत में हो गया नाकाम
मुझे तो और कोई काम भी नहीं आता

बिठा दिया मुझे दरिया के उस किनारे पर
जिधर हुबाब तही-जाम भी नहीं आता

चुरा के ख़्वाब वो आँखों को रेहन रखता है
और उस के सर कोई इल्ज़ाम भी नहीं आता

- Ghulam Muhammad Qasir
4 Likes

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghulam Muhammad Qasir

As you were reading Shayari by Ghulam Muhammad Qasir

Similar Writers

our suggestion based on Ghulam Muhammad Qasir

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari