ban mein veeraan thi nazar shehar mein dil rota hai | बन में वीराँ थी नज़र शहर में दिल रोता है - Ghulam Muhammad Qasir

ban mein veeraan thi nazar shehar mein dil rota hai
zindagi se ye mera doosra samjhauta hai

lahlahaate hue khwaabon se meri aankhon tak
ratjage kasht na kar le to vo kab sota hai

jis ko is fasl mein hona hai barabar ka shareek
mere ehsaas mein tanhaaiyaan kyun bota hai

naam likh likh ke tira phool banaane waala
aaj phir shabnameen aankhon se varq dhota hai

tere bakshe hue ik gham ka karishma hai ki ab
jo bhi gham ho mere meyaar se kam hota hai

so gaye shahr-e-mohabbat ke sabhi daagh o charaagh
ek saaya pas-e-deewaar abhi rota hai

ye bhi ik rang hai shaayad meri mehroomi ka
koi hans de to mohabbat ka gumaan hota hai

बन में वीराँ थी नज़र शहर में दिल रोता है
ज़िंदगी से ये मिरा दूसरा समझौता है

लहलहाते हुए ख़्वाबों से मिरी आँखों तक
रतजगे काश्त न कर ले तो वो कब सोता है

जिस को इस फ़स्ल में होना है बराबर का शरीक
मेरे एहसास में तन्हाइयाँ क्यूँ बोता है

नाम लिख लिख के तिरा फूल बनाने वाला
आज फिर शबनमीं आँखों से वरक़ धोता है

तेरे बख़्शे हुए इक ग़म का करिश्मा है कि अब
जो भी ग़म हो मिरे मेयार से कम होता है

सो गए शहर-ए-मोहब्बत के सभी दाग़ ओ चराग़
एक साया पस-ए-दीवार अभी रोता है

ये भी इक रंग है शायद मिरी महरूमी का
कोई हँस दे तो मोहब्बत का गुमाँ होता है

- Ghulam Muhammad Qasir
1 Like

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghulam Muhammad Qasir

As you were reading Shayari by Ghulam Muhammad Qasir

Similar Writers

our suggestion based on Ghulam Muhammad Qasir

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari