har ek pal ki udaasi ko jaanta hai to aa | हर एक पल की उदासी को जानता है तो आ - Ghulam Muhammad Qasir

har ek pal ki udaasi ko jaanta hai to aa
mere vujood ko tu dil se maanta hai to aa

wafa ke shehar mein ab log jhooth bolte hain
tu aa raha hai magar sach ko maanta hai to aa

mere diye ne andhere se dosti kar li
mujhe tu apne ujaale mein jaanta hai to aa

hayaat sirf tire motiyon ka naam nahin
dilon ki bikhri hui khaak chaanta hai to aa

tu mere gaav ke hisse ki chaanv bhi le ja
magar badan pe kabhi dhoop taantaa hai to aa

हर एक पल की उदासी को जानता है तो आ
मिरे वजूद को तू दिल से मानता है तो आ

वफ़ा के शहर में अब लोग झूट बोलते हैं
तू आ रहा है मगर सच को मानता है तो आ

मिरे दिए ने अंधेरे से दोस्ती कर ली
मुझे तू अपने उजाले में जानता है तो आ

हयात सिर्फ़ तिरे मोतियों का नाम नहीं
दिलों की बिखरी हुई ख़ाक छानता है तो आ

तू मेरे गाँव के हिस्से की छाँव भी ले जा
मगर बदन पे कभी धूप तानता है तो आ

- Ghulam Muhammad Qasir
3 Likes

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghulam Muhammad Qasir

As you were reading Shayari by Ghulam Muhammad Qasir

Similar Writers

our suggestion based on Ghulam Muhammad Qasir

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari