hum ne to be-shumaar bahaane banaaye hain | हम ने तो बे-शुमार बहाने बनाए हैं - Ghulam Muhammad Qasir

hum ne to be-shumaar bahaane banaaye hain
kehta hai dil ki but bhi khuda ne banaaye hain

le le ke tera naam in aankhon ne raat bhar
tasbeeh-e-intizaar ke daane banaaye hain

hum ne tumhaare gham ko haqeeqat bana diya
tum ne hamaare gham ke fasaane banaaye hain

vo log mutmain hain ki patthar hain un ke paas
hum khush ki hum ne aaina-khaane banaaye hain

bhanware unhi pe chal ke karenge tawaaf-e-gul
jo daayere chaman mein saba ne banaaye hain

hum to wahan pahunch nahin sakte tamaam umr
aankhon ne itni door thikaane banaaye hain

aaj us badan pe bhi nazar aaye talab ke daagh
deewaar par bhi naqsh wafa ne banaaye hain

हम ने तो बे-शुमार बहाने बनाए हैं
कहता है दिल कि बुत भी ख़ुदा ने बनाए हैं

ले ले के तेरा नाम इन आँखों ने रात भर
तस्बीह-ए-इन्तिज़ार के दाने बनाए हैं

हम ने तुम्हारे ग़म को हक़ीक़त बना दिया
तुम ने हमारे ग़म के फ़साने बनाए हैं

वो लोग मुतमइन हैं कि पत्थर हैं उन के पास
हम ख़ुश कि हम ने आईना-ख़ाने बनाए हैं

भँवरे उन्ही पे चल के करेंगे तवाफ़-ए-गुल
जो दाएरे चमन में सबा ने बनाए हैं

हम तो वहाँ पहुँच नहीं सकते तमाम उम्र
आँखों ने इतनी दूर ठिकाने बनाए हैं

आज उस बदन पे भी नज़र आए तलब के दाग़
दीवार पर भी नक़्श वफ़ा ने बनाए हैं

- Ghulam Muhammad Qasir
0 Likes

Wafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghulam Muhammad Qasir

As you were reading Shayari by Ghulam Muhammad Qasir

Similar Writers

our suggestion based on Ghulam Muhammad Qasir

Similar Moods

As you were reading Wafa Shayari Shayari