kahi log tanhaa kahi ghar akela | कहीं लोग तन्हा कहीं घर अकेले - Ghulam Muhammad Qasir

kahi log tanhaa kahi ghar akela
kahaan tak main dekhoon ye manzar akela

gali mein hawaon ki sargoshiyaan hain
gharo mein magar sab sanobar akela

numaish hazaaron nigaahon ne dekhi
magar phool pehle se badh kar akela

ab ik teer bhi ho liya saath warna
parinda chala tha safar par akela

jo dekho to ik lehar mein ja rahe hain
jo socho to saare shanawar akela

tiri yaad ki barf-baari ka mausam
sulagta raha dil ke andar akela

iraada tha jee loonga tujh se bichhad kar
guzarta nahin ik december akela

zamaane se qasir khafa to nahin hain
ki dekhe gaye hain vo akshar akela

कहीं लोग तन्हा कहीं घर अकेले
कहाँ तक मैं देखूँ ये मंज़र अकेले

गली में हवाओं की सरगोशियाँ हैं
घरों में मगर सब सनोबर अकेले

नुमाइश हज़ारों निगाहों ने देखी
मगर फूल पहले से बढ़ कर अकेले

अब इक तीर भी हो लिया साथ वर्ना
परिंदा चला था सफ़र पर अकेले

जो देखो तो इक लहर में जा रहे हैं
जो सोचो तो सारे शनावर अकेले

तिरी याद की बर्फ़-बारी का मौसम
सुलगता रहा दिल के अंदर अकेले

इरादा था जी लूँगा तुझ से बिछड़ कर
गुज़रता नहीं इक दिसम्बर अकेले

ज़माने से 'क़ासिर' ख़फ़ा तो नहीं हैं
कि देखे गए हैं वो अक्सर अकेले

- Ghulam Muhammad Qasir
1 Like

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghulam Muhammad Qasir

As you were reading Shayari by Ghulam Muhammad Qasir

Similar Writers

our suggestion based on Ghulam Muhammad Qasir

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari