kashti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla | कश्ती भी नहीं बदली दरिया भी नहीं बदला - Ghulam Muhammad Qasir

kashti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla
aur doobne waalon ka jazba bhi nahin badla

tasveer nahin badli sheesha bhi nahin badla
nazrein bhi salaamat hain chehra bhi nahin badla

hai shauk-e-safar aisa ik umr se yaaron ne
manzil bhi nahin paai rasta bhi nahin badla

bekar gaya ban mein sona mera sadiyon ka
is shehar mein to ab tak sikka bhi nahin badla

be-samt hawaon ne har lehar se saazish ki
khwaabon ke jazeera ka naqsha bhi nahin badla

कश्ती भी नहीं बदली दरिया भी नहीं बदला
और डूबने वालों का जज़्बा भी नहीं बदला

तस्वीर नहीं बदली शीशा भी नहीं बदला
नज़रें भी सलामत हैं चेहरा भी नहीं बदला

है शौक़-ए-सफ़र ऐसा इक उम्र से यारों ने
मंज़िल भी नहीं पाई रस्ता भी नहीं बदला

बेकार गया बन में सोना मिरा सदियों का
इस शहर में तो अब तक सिक्का भी नहीं बदला

बे-सम्त हवाओं ने हर लहर से साज़िश की
ख़्वाबों के जज़ीरे का नक़्शा भी नहीं बदला

- Ghulam Muhammad Qasir
8 Likes

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghulam Muhammad Qasir

As you were reading Shayari by Ghulam Muhammad Qasir

Similar Writers

our suggestion based on Ghulam Muhammad Qasir

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari