nazar nazar mein ada-e-jamaal rakhte the | नज़र नज़र में अदा-ए-जमाल रखते थे - Ghulam Muhammad Qasir

nazar nazar mein ada-e-jamaal rakhte the
hum ek shakhs ka kitna khayal rakhte the

jabeen pe aane na dete the ik shikan bhi kabhi
agarche dil mein hazaaron malaal rakhte the

khushi usi ki hamesha nazar mein rahti thi
aur apni quwwat-e-gham bhi bahaal rakhte the

bas ishtiyaq-e-takallum mein baar-ha hum log
jawaab dil mein zabaan par sawaal rakhte the

usi se karte the hum roz o shab ka andaaza
zameen pe rah ke vo suraj ki chaal rakhte the

junoon ka jaam mohabbat ki may khird ka khumaar
humeen the vo jo ye saare kamaal rakhte the

chhupa ke apni sisakti sulagti sochon se
mohabbaton ke urooj o zawaal rakhte the

kuch un ka husn bhi tha maavra misaalon se
kuch apna ishq bhi hum be-misaal rakhte the

khata nahin jo khile phool raah-e-sarsar mein
ye jurm hai ki vo fikr-e-maal rakhte the

नज़र नज़र में अदा-ए-जमाल रखते थे
हम एक शख़्स का कितना ख़याल रखते थे

जबीं पे आने न देते थे इक शिकन भी कभी
अगरचे दिल में हज़ारों मलाल रखते थे

ख़ुशी उसी की हमेशा नज़र में रहती थी
और अपनी क़ुव्वत-ए-ग़म भी बहाल रखते थे

बस इश्तियाक़-ए-तकल्लुम में बार-हा हम लोग
जवाब दिल में ज़बाँ पर सवाल रखते थे

उसी से करते थे हम रोज़ ओ शब का अंदाज़ा
ज़मीं पे रह के वो सूरज की चाल रखते थे

जुनूँ का जाम मोहब्बत की मय ख़िरद का ख़ुमार
हमीं थे वो जो ये सारे कमाल रखते थे

छुपा के अपनी सिसकती सुलगती सोचों से
मोहब्बतों के उरूज ओ ज़वाल रखते थे

कुछ उन का हुस्न भी था मावरा मिसालों से
कुछ अपना इश्क़ भी हम बे-मिसाल रखते थे

ख़ता नहीं जो खिले फूल राह-ए-सरसर में
ये जुर्म है कि वो फ़िक्र-ए-मआल रखते थे

- Ghulam Muhammad Qasir
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghulam Muhammad Qasir

As you were reading Shayari by Ghulam Muhammad Qasir

Similar Writers

our suggestion based on Ghulam Muhammad Qasir

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari