raat us ke saamne mere siva bhi main hi tha | रात उस के सामने मेरे सिवा भी मैं ही था - Ghulam Muhammad Qasir

raat us ke saamne mere siva bhi main hi tha
sab se pehle main gaya tha doosra bhi main hi tha

main mukhalif samt mein chalta raha hoon umr bhar
aur jo us tak gaya vo raasta bhi main hi tha

sab se kat kar rah gaya khud main simat kar rah gaya
silsila toota kahaan se sochta bhi main hi tha

sab se achha kah ke us ne mujh ko ruksat kar diya
jab yahaan aaya to phir sab se bura bhi main hi tha

waqt ke mehraab mein jo be-sabab jalta raha
raat ne mujh ko bataaya vo diya bhi main hi tha

khud se milne ki tamannaa par zawaal aane ke baad
vo samajhta hai ki us ka aaina bhi main hi tha

रात उस के सामने मेरे सिवा भी मैं ही था
सब से पहले मैं गया था दूसरा भी मैं ही था

मैं मुख़ालिफ़ सम्त में चलता रहा हूँ उम्र भर
और जो उस तक गया वो रास्ता भी मैं ही था

सब से कट कर रह गया ख़ुद मैं सिमट कर रह गया
सिलसिला टूटा कहाँ से सोचता भी मैं ही था

सब से अच्छा कह के उस ने मुझ को रुख़्सत कर दिया
जब यहां आया तो फिर सब से बुरा भी मैं ही था

वक़्त के मेहराब में जो बे-सबब जलता रहा
रात ने मुझ को बताया वो दिया भी मैं ही था

ख़ुद से मिलने की तमन्ना पर ज़वाल आने के बाद
वो समझता है कि उस का आइना भी मैं ही था

- Ghulam Muhammad Qasir
1 Like

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghulam Muhammad Qasir

As you were reading Shayari by Ghulam Muhammad Qasir

Similar Writers

our suggestion based on Ghulam Muhammad Qasir

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari