yaad ashkon mein baha di hum ne | याद अश्कों में बहा दी हम ने - Ghulam Muhammad Qasir

yaad ashkon mein baha di hum ne
aa ki har baat bhula di hum ne

gulshan-e-dil se guzarne ke liye
gham ko raftaar-e-saba di hum ne

ab usi aag mein jalte hain jise
apne daaman se hawa di hum ne

din andheron ki talab mein guzra
raat ko sham'a jala di hum ne

rah-guzar bajti hai paayel ki tarah
kis ki aahat ko sada di hum ne

qasr-e-maani ke makeen the phir bhi
tay na ki lafz ki waadi hum ne

gham ki tashreeh bahut mushkil thi
apni tasveer dikha di hum ne

याद अश्कों में बहा दी हम ने
आ कि हर बात भुला दी हम ने

गुलशन-ए-दिल से गुज़रने के लिए
ग़म को रफ़्तार-ए-सबा दी हम ने

अब उसी आग में जलते हैं जिसे
अपने दामन से हवा दी हम ने

दिन अंधेरों की तलब में गुज़रा
रात को शम्अ जला दी हम ने

रह-गुज़र बजती है पाएल की तरह
किस की आहट को सदा दी हम ने

क़स्र-ए-मआनी के मकीं थे फिर भी
तय न की लफ़्ज़ की वादी हम ने

ग़म की तशरीह बहुत मुश्किल थी
अपनी तस्वीर दिखा दी हम ने

- Ghulam Muhammad Qasir
0 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghulam Muhammad Qasir

As you were reading Shayari by Ghulam Muhammad Qasir

Similar Writers

our suggestion based on Ghulam Muhammad Qasir

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari