akela | "अकेले"

  - Gulzar

akela

kis qadar seedha sahal saaf hai rasta dekho
na kisi shaakh ka saaya hai na deewaar ki take
na kisi aankh ki aahat na kisi chehre ka shor
door tak koi nahin koi nahin koi nahin

chand qadmon ke nishaan haan kabhi milte hain kahi
saath chalte hain jo kuchh door faqat chand qadam
aur phir toot ke gir jaate hain ye kahte hue
apni tanhaai liye aap chalo tanhaa akela
saath aaye jo yahan koi nahin koi nahin

kis qadar seedha sahal saaf hai rasta dekho

"अकेले"

किस क़दर सीधा, सहल, साफ़ है रस्ता देखो
न किसी शाख़ का साया है, न दीवार की टेक
न किसी आँख की आहट, न किसी चेहरे का शोर
दूर तक कोई नहीं, कोई नहीं, कोई नहीं

चंद क़दमों के निशाँ हाँ कभी मिलते हैं कहीं
साथ चलते हैं जो कुछ दूर फ़क़त चंद क़दम
और फिर टूट के गिर जाते हैं ये कहते हुए
अपनी तन्हाई लिए आप चलो, तन्हा अकेले
साथ आए जो यहाँ कोई नहीं, कोई नहीं

किस क़दर सीधा, सहल, साफ़ है रस्ता देखो

  - Gulzar

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari