jab tak chand lutere is dharti ko ghere hain | जब तक चंद लुटेरे इस धरती को घेरे हैं

  - Habib Jalib

jab tak chand lutere is dharti ko ghere hain
apni jang rahegi
ahl-e-hawas ne jab tak apne daam bikhere hain
apni jang rahegi
maghrib ke chehre par yaaro apne khoon ki laali hai
lekin ab us ke suraj ki naav doobne waali hai
mashriq ki taqdeer mein jab tak gham ke andhere hain
apni jang rahegi
zulm kahi bhi ho ham us ka sar kham karte jaayenge
mahlon mein ab apne lahu ke diye na jalne paayenge
kutiyaon se jab tak subhon ne munh phere hain
apni jang rahegi
jaan liya ai ahl-e-karam tum toli ho ayyaaron ki
dast-e-nigar kyun ban ke rahe ye basti hai khuddaaron ki
doobe hue dukh-dard mein jab tak saanjh savere hain
apni jang rahegi

जब तक चंद लुटेरे इस धरती को घेरे हैं
अपनी जंग रहेगी
अहल-ए-हवस ने जब तक अपने दाम बिखेरे हैं
अपनी जंग रहेगी
मग़रिब के चेहरे पर यारो अपने ख़ून की लाली है
लेकिन अब उस के सूरज की नाव डूबने वाली है
मशरिक़ की तक़दीर में जब तक ग़म के अँधेरे हैं
अपनी जंग रहेगी
ज़ुल्म कहीं भी हो हम उस का सर ख़म करते जाएँगे
महलों में अब अपने लहू के दिए न जलने पाएँगे
कुटियाओं से जब तक सुब्हों ने मुँह फेरे हैं
अपनी जंग रहेगी
जान लिया ऐ अहल-ए-करम तुम टोली हो अय्यारों की
दस्त-ए-निगर क्यूँ बन के रहे ये बस्ती है ख़ुद्दारों की
डूबे हुए दुख-दर्द में जब तक साँझ सवेरे हैं
अपनी जंग रहेगी

  - Habib Jalib

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari