bahut main ne sooni hai aap ki taqreer maulaana
magar badli nahin ab tak meri taqdeer maulaana
khudaara shukr ki talkin apne paas hi rakhen
ye lagti hai mere seene pe ban kar teer maulaana
nahin main bol saka jhooth is darja dhitaaee se
yahi hai jurm mera aur yahi taqseer maulaana
haqeeqat kya hai ye to aap jaanen ya khuda jaane
suna hai jimmy-carter aap ka hai peer maulaana
zameenen hon waderon ki masheenein hon luteron ki
khuda ne likh ke di hai ye tumhein tahreer maulaana
karodon kyun nahin mil kar filisteen ke liye ladte
dua hi se faqat kattee nahin zanjeer maulaana
बहुत मैं ने सुनी है आप की तक़रीर मौलाना
मगर बदली नहीं अब तक मिरी तक़दीर मौलाना
ख़ुदारा शुक्र की तल्क़ीन अपने पास ही रक्खें
ये लगती है मिरे सीने पे बन कर तीर मौलाना
नहीं मैं बोल सकता झूट इस दर्जा ढिटाई से
यही है जुर्म मेरा और यही तक़्सीर मौलाना
हक़ीक़त क्या है ये तो आप जानें या ख़ुदा जाने
सुना है जिम्मी-कार्टर आप का है पीर मौलाना
ज़मीनें हों वडेरों की मशीनें हों लुटेरों की
ख़ुदा ने लिख के दी है ये तुम्हें तहरीर मौलाना
करोड़ों क्यूँ नहीं मिल कर फ़िलिस्तीं के लिए लड़ते
दुआ ही से फ़क़त कटती नहीं ज़ंजीर मौलाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Khuda Shayari Shayari