dil ki awaaz mein awaaz milaate rahiye | दिल की आवाज़ में आवाज़ मिलाते रहिए

  - Hafeez Banarsi

dil ki awaaz mein awaaz milaate rahiye
jaagte rahiye zamaane ko jagaate rahiye

daulat-e-ishq nahin baandh ke rakhne ke liye
is khazaane ko jahaan tak ho lutate rahiye

zindagi bhi kisi mehboob se kuchh kam to nahin
pyaar hai us se to phir naaz uthaate rahiye

zindagi dard ki tasveer na banne paaye
bolte rahiye zara hanste hansaate rahiye

roothna bhi hai haseenon ki ada mein shaamil
aap ka kaam manana hai manaate rahiye

phool bikhraata hua main tau chala jaaunga
aap kaante meri raahon mein bichaate rahiye

bewafaai ka zamaana hai magar aap hafiz
naghma-e-mehr-o-wafa sab ko sunaate rahiye

दिल की आवाज़ में आवाज़ मिलाते रहिए
जागते रहिए ज़माने को जगाते रहिए

दौलत-ए-इश्क़ नहीं बाँध के रखने के लिए
इस ख़ज़ाने को जहाँ तक हो लुटाते रहिए

ज़िंदगी भी किसी महबूब से कुछ कम तो नहीं
प्यार है उस से तो फिर नाज़ उठाते रहिए

ज़िंदगी दर्द की तस्वीर न बनने पाए
बोलते रहिए ज़रा हँसते हँसाते रहिए

रूठना भी है हसीनों की अदा में शामिल
आप का काम मनाना है मनाते रहिए

फूल बिखराता हुआ मैं तौ चला जाऊँगा
आप काँटे मिरी राहों में बिछाते रहिए

बेवफ़ाई का ज़माना है मगर आप 'हफ़ीज़'
नग़्मा-ए-मेहर-ओ-वफ़ा सब को सुनाते रहिए

  - Hafeez Banarsi

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarsi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarsi

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari