hamaare ahad ka manzar ajeeb manzar hai
bahaar chehre pe dil mein khizaan ka daftar hai
na hum-safar na koi naqsh-e-paa na rahbar hai
junoon ki raah mein kuchh hai to jaan ka dar hai
har ek lamha hamein dar hai toot jaane ka
ye zindagi hai ki bosida kaanch ka ghar hai
isee se ladte hue ek umr beet gai
meri ana hi mere raaste ka patthar hai
tamaam jism hain jis ke khayal mein larzaan
vo teergi ka nahin raushni ka khanjar hai
main ek qatra hoon lekin mera naseeb to dekh
ki be-qaraar mere gham mein ik samundar hai
usi ke peeche ravaan hoon main paagalon ki tarah
vo ek shay jo meri dastaras se baahar hai
isee khayal se milta hai kuchh sakoon dil ko
ki na-suboori to is daur ka muqaddar hai
kabhi to is se mulaqaat ki ghadi aaye
jo mere dil mein basa hai jo mere andar hai
uqaab-e-zulm ke panje abhi kahaan toote
abhi to faakhta-e-aman khoon mein tar hai
khuda ki maar ho is jehal-e-aagahi pe hafiz
b-zo'm-e-khud yahan har shakhs ik payambar hai
हमारे अहद का मंज़र अजीब मंज़र है
बहार चेहरे पे दिल में ख़िज़ाँ का दफ़्तर है
न हम-सफ़र ना कोई नक़्श-ए-पा ना रहबर है
जुनूँ की राह में कुछ है तो जान का डर है
हर एक लम्हा हमें डर है टूट जाने का
ये ज़िंदगी है कि बोसीदा काँच का घर है
इसी से लड़ते हुए एक उम्र बीत गई
मिरी अना ही मिरे रास्ते का पत्थर है
तमाम जिस्म हैं जिस के ख़याल में लर्ज़ां
वो तीरगी का नहीं रौशनी का ख़ंजर है
मैं एक क़तरा हूँ लेकिन मिरा नसीब तो देख
कि बे-क़रार मिरे ग़म में इक समुंदर है
उसी के पीछे रवाँ हूँ मैं पागलों की तरह
वो एक शय जो मिरी दस्तरस से बाहर है
इसी ख़याल से मिलता है कुछ सकूँ दिल को
कि ना-सुबूरी तो इस दौर का मुक़द्दर है
कभी तो इस से मुलाक़ात की घड़ी आए
जो मेरे दिल में बसा है जो मेरे अंदर है
उक़ाब-ए-ज़ुल्म के पंजे अभी कहाँ टूटे
अभी तो फ़ाख़्ता-ए-अमन ख़ून में तर है
ख़ुदा की मार हो इस जेहल-ए-आगही पे 'हफ़ीज़'
ब-ज़ो'म-ए-ख़ुद यहाँ हर शख़्स इक पयम्बर है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi
our suggestion based on Hafeez Banarsi
As you were reading Bekhudi Shayari Shayari