ik shagufta gulaab jaisa tha | इक शगुफ़्ता गुलाब जैसा था - Hafeez Banarsi

ik shagufta gulaab jaisa tha
vo bahaaron ke khwaab jaisa tha

padh liya ham ne harf harf use
us ka chehra kitaab kaisa tha

door se kuchh tha aur qareeb se kuchh
har sahaara saraab jaisa tha

ham ghareebon ke vaaste har roz
ek roz-e-hisaab jaisa tha

kis qadar jald ud gaya yaaro
waqt rang-e-shabaab jaisa tha

kaise guzri hai umr kya kahiye
lamha lamha azaab jaisa tha

zahar tha zindagi ke saaghar mein
rang rang-e-sharaab jaisa tha

kya zamaana tha vo zamaana bhi
har gunah jab savaab jaisa tha

kaun gardaanata use qaateel
vo to izzat-maab jaisa tha

be-hijaabi ke baawajood bhi kuchh
is ke rukh par hijaab jaisa tha

jab bhi chheda to ik fugaan nikli
dil shikasta rabaab jaisa tha

is ke rukh par nazar thehar na saki
vo hafiz aftaab jaisa tha

इक शगुफ़्ता गुलाब जैसा था
वो बहारों के ख़्वाब जैसा था

पढ़ लिया हम ने हर्फ़ हर्फ़ उसे
उस का चेहरा किताब कैसा था

दूर से कुछ था और क़रीब से कुछ
हर सहारा सराब जैसा था

हम ग़रीबों के वास्ते हर रोज़
एक रोज़-ए-हिसाब जैसा था

किस क़दर जल्द उड़ गया यारो
वक़्त रंग-ए-शबाब जैसा था

कैसे गुज़री है उम्र क्या कहिए
लम्हा लम्हा अज़ाब जैसा था

ज़हर था ज़िंदगी के साग़र में
रंग रंग-ए-शराब जैसा था

क्या ज़माना था वो ज़माना भी
हर गुनह जब सवाब जैसा था

कौन गर्दानता उसे क़ातिल
वो तो इज़्ज़त-मआब जैसा था

बे-हिजाबी के बावजूद भी कुछ
इस के रुख़ पर हिजाब जैसा था

जब भी छेड़ा तो इक फ़ुग़ाँ निकली
दिल शिकस्ता रबाब जैसा था

इस के रुख़ पर नज़र ठहर न सकी
वो 'हफ़ीज़' आफ़्ताब जैसा था

- Hafeez Banarsi
0 Likes

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarsi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarsi

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari