jab bhi tiri yaadon ki chalne lagi purvaai
har zakham hua taaza har chot ubhar aayi
is baat pe hairaan hain saahil ke tamaashaai
ik tooti hui kashti har mauj se takraai
maykhaane tak aa pahunchee insaaf ki ruswaai
saaqi se hui laghzish rindon ne saza paai
hangaama hua barpa ik jaam agar toota
dil toot gaye laakhon awaaz nahin aayi
ik raat basar kar len aaraam se deewane
aisa bhi koi wa'da ai jaan-e-shakebaai
kis darja sitam-gar hai ye gardish-e-dauraan bhi
khud aaj tamasha hain kal the jo tamaashaai
kya jaaniye kya gham tha mil kar bhi ye aalam tha
be-khwab rahe vo bhi ham ko bhi na neend aayi
जब भी तिरी यादों की चलने लगी पुर्वाई
हर ज़ख़्म हुआ ताज़ा हर चोट उभर आई
इस बात पे हैराँ हैं साहिल के तमाशाई
इक टूटी हुई कश्ती हर मौज से टकराई
मयख़ाने तक आ पहुँची इंसाफ़ की रुस्वाई
साक़ी से हुई लग़्ज़िश रिंदों ने सज़ा पाई
हंगामा हुआ बरपा इक जाम अगर टूटा
दिल टूट गए लाखों आवाज़ नहीं आई
इक रात बसर कर लें आराम से दीवाने
ऐसा भी कोई वा'दा ऐ जान-ए-शकेबाई
किस दर्जा सितम-गर है ये गर्दिश-ए-दौराँ भी
ख़ुद आज तमाशा हैं कल थे जो तमाशाई
क्या जानिए क्या ग़म था मिल कर भी ये आलम था
बे-ख़्वाब रहे वो भी हम को भी न नींद आई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi
our suggestion based on Hafeez Banarsi
As you were reading Dard Shayari Shayari