jo khat hai shikasta hai jo aks hai toota hai
ya husn tira jhoota ya aaina jhoota hai
ham shukr karein kis ka shaaki hon to kis ke hoon
rehzan ne bhi lootaa hai rahbar ne bhi lootaa hai
yaad aaya in aankhon ka paimaan-e-wafa jab bhi
saaghar mere haathon se be-saakhta chhoota hai
har chehre pe likkha hai ik qissaa-e-mazloomi
bedard zamaane ne har shakhs ko lootaa hai
manzil ki tamannaa mein sar-garm-e-safar hain sab
kaun us ke liye roye jo raah mein chhoota hai
allah re hafiz us ka ye zauq-e-khud-aaraai
jab zulf sanwaari hai ik aaina toota hai
जो ख़त है शिकस्ता है जो अक्स है टूटा है
या हुस्न तिरा झूटा या आइना झूटा है
हम शुक्र करें किस का शाकी हों तो किस के हूँ
रहज़न ने भी लूटा है रहबर ने भी लूटा है
याद आया इन आँखों का पैमान-ए-वफ़ा जब भी
साग़र मिरे हाथों से बे-साख़्ता छूटा है
हर चेहरे पे लिक्खा है इक क़िस्सा-ए-मज़लूमी
बेदर्द ज़माने ने हर शख़्स को लूटा है
मंज़िल की तमन्ना में सर-गर्म-ए-सफ़र हैं सब
कौन उस के लिए रोए जो राह में छूटा है
अल्लाह रे 'हफ़ीज़' उस का ये ज़ौक़-ए-ख़ुद-आराई
जब ज़ुल्फ़ सँवारी है इक आइना टूटा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi
our suggestion based on Hafeez Banarsi
As you were reading Khat Shayari Shayari