jo nazar se bayaan hoti hai | जो नज़र से बयान होती है - Hafeez Banarsi

jo nazar se bayaan hoti hai
kya haseen daastaan hoti hai

pattharon ko na thokren maaro
pattharon mein bhi jaan hoti hai

jis ko choo do tum apne qadmon se
vo zameen aasmaan hoti hai

be-piye bhi suroor hota hai
jab mohabbat jawaan hoti hai

zindagi to usi ki hai jis par
vo nazar mehrbaan hoti hai

jitne unche khayal hote hain
utni unchi udaan hoti hai

aarzoo ki zabaan nahin hoti
aarzoo be-zabaan hoti hai

jis mein shaamil ho talkhi-e-gham bhi
kitni meethi vo taan hoti hai

in ki nazaron ka ho fusoon jis mein
vo ghazal ki zabaan hoti hai

khaar ki zindagi-e-be-raunaq
phool ki paasbaan hoti hai

kaun deta hai rooh ko awaaz
jab haram mein azaan hoti hai

ishq ki zindagi hafiz na pooch
har ghadi imtihaan hoti hai

जो नज़र से बयान होती है
क्या हसीं दास्तान होती है

पत्थरों को न ठोकरें मारो
पत्थरों में भी जान होती है

जिस को छू दो तुम अपने क़दमों से
वो ज़मीं आसमान होती है

बे-पिए भी सुरूर होता है
जब मोहब्बत जवान होती है

ज़िंदगी तो उसी की है जिस पर
वो नज़र मेहरबान होती है

जितने ऊँचे ख़याल होते हैं
उतनी ऊँची उड़ान होती है

आरज़ू की ज़बाँ नहीं होती
आरज़ू बे-ज़बान होती है

जिस में शामिल हो तल्ख़ी-ए-ग़म भी
कितनी मीठी वो तान होती है

इन की नज़रों का हो फ़ुसूँ जिस में
वो ग़ज़ल की ज़बान होती है

ख़ार की ज़िंदगी-ए-बे-रौनक़
फूल की पासबान होती है

कौन देता है रूह को आवाज़
जब हरम में अज़ान होती है

इश्क़ की ज़िंदगी 'हफ़ीज़' न पूछ
हर घड़ी इम्तिहान होती है

- Hafeez Banarsi
0 Likes

Bekhudi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarsi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarsi

Similar Moods

As you were reading Bekhudi Shayari Shayari