jo pardo mein khud ko chhupaaye hue hain
qayamat wahi to uthaaye hue hain
tiri anjuman mein jo aaye hue hain
gham-e-do-jahaan ko bhulaaye hue hain
pahaadon se bhi jo uthaaye na utha
vo baar-e-wafa ham uthaaye hue hain
koi shaam ke waqt aayega lekin
sehar se ham aankhen bichhaaye hue hain
jahaan bijliyaan khud amaan dhundti hain
wahan ham nasheeman banaaye hue hain
ghazal aabroo hai tu urdu zabaan ki
tiri aabroo ham bachaaye hue hain
ye ashaar yun hi nahin dard-aageen
hafiz aap bhi chot khaaye hue hain
जो पर्दों में ख़ुद को छुपाए हुए हैं
क़यामत वही तो उठाए हुए हैं
तिरी अंजुमन में जो आए हुए हैं
ग़म-ए-दो-जहाँ को भुलाए हुए हैं
पहाड़ों से भी जो उठाए न उट्ठा
वो बार-ए-वफ़ा हम उठाए हुए हैं
कोई शाम के वक़्त आएगा लेकिन
सहर से हम आँखें बिछाए हुए हैं
जहाँ बिजलियाँ ख़ुद अमाँ ढूँडती हैं
वहाँ हम नशेमन बनाए हुए हैं
ग़ज़ल आबरू है तू उर्दू ज़बाँ की
तिरी आबरू हम बचाए हुए हैं
ये अशआर यूँ ही नहीं दर्द-आगीं
'हफ़ीज़' आप भी चोट खाए हुए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi
our suggestion based on Hafeez Banarsi
As you were reading Ghayal Shayari Shayari