kya jurm hamaara hai bata kyun nahin dete
mujrim hain agar ham to saza kyun nahin dete
kya jalwa-e-ma'ani hai dikha kyun nahin dete
deewar-e-hijaabaat gira kyun nahin dete
tum ko to bada naaz-e-masihaai tha yaaro
beemaar hai har shakhs dava kyun nahin dete
kis dasht mein gum ho gaye ahbaab hamaare
ham kaan lagaaye hain sada kyun nahin dete
kam-zarf hain jo pee ke bahut ke hain sar-e-bazm
mehfil se unhen aap utha kyun nahin dete
kyun haath mein larza hai tumhein khauf hai kis ka
ham harf-e-ghalat hain to mita kyun nahin dete
kuchh log abhi ishq mein gustaakh bahut hain
aadaab-e-wafa un ko sikha kyun nahin dete
naghma wahi naghma hai utar jaaye jo dil mein
duniya ko hafiz aap bata kyun nahin dete

क्या जुर्म हमारा है बता क्यूँ नहीं देते
मुजरिम हैं अगर हम तो सज़ा क्यूँ नहीं देते
क्या जल्वा-ए-मअ'नी है दिखा क्यूँ नहीं देते
दीवार-ए-हिजाबात गिरा क्यूँ नहीं देते
तुम को तो बड़ा नाज़-ए-मसीहाई था यारो
बीमार है हर शख़्स दवा क्यूँ नहीं देते
किस दश्त में गुम हो गए अहबाब हमारे
हम कान लगाए हैं सदा क्यूँ नहीं देते
कम-ज़र्फ़ हैं जो पी के बहुत के हैं सर-ए-बज़्म
महफ़िल से उन्हें आप उठा क्यूँ नहीं देते
क्यूँ हाथ में लर्ज़ा है तुम्हें ख़ौफ़ है किस का
हम हर्फ़-ए-ग़लत हैं तो मिटा क्यूँ नहीं देते
कुछ लोग अभी इश्क़ में गुस्ताख़ बहुत हैं
आदाब-ए-वफ़ा उन को सिखा क्यूँ नहीं देते
नग़्मा वही नग़्मा है उतर जाए जो दिल में
दुनिया को 'हफ़ीज़' आप बता क्यूँ नहीं देते

Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi
our suggestion based on Hafeez Banarsi
As you were reading Dar Shayari Shayari