lab-e-furaat wahi tishnagi ka manzar hai | लब-ए-फ़ुरात वही तिश्नगी का मंज़र है - Hafeez Banarsi

lab-e-furaat wahi tishnagi ka manzar hai
wahi husain wahi qaatilon ka lashkar hai

ye kis maqaam pe laai hai zindagi hum ko
hasi labon pe hai seene mein gham ka daftar hai

yaqeen kis pe karein kis ko dost thehraayein
har aasteen mein poshida koi khanjar hai

gila nahin mere honton pe tang-dasti ka
khuda ka shukr mera dil abhi tawangar hai

koi to hai jo dhadakta hai zindagi ban kar
koi to hai jo hamaare dilon ke andar hai

use qareeb se dekha to ye hua maaloom
vo boo-e-gul nahin shamshir-e-baad-e-sarsar hai

samajh ke aag lagana hamaare ghar mein tum
hamaare ghar ke barabar tumhaara bhi ghar hai

meri jabeen ko haqarat se dekhne waale
meri jabeen se tira aastaan munavvar hai

tumhaare qurb ki lazzat naseeb hai jis ko
vo ek lamha hayaat-e-abad se behtar hai

hamaara jurm yahi hai ki haq-parast hain hum
hamaare khoon ka pyaasa har ek khanjar hai

vo mere saamne aaye to kis tarah aaye
koi libaas hai us ka na koi paikar hai

har ik bala se bachaaye hue hai jo hum ko
hamaare sar pe ye maa ki dua ki chadar hai

bhatk raha hoon main sadiyon se dasht-e-ghurbat mein
koi to mujh ko bataaye kahaan mera ghar hai

abhi hafiz gulaabon ki baat mat kijeye
lahooluhaan abhi gulsitaan ka manzar hai

लब-ए-फ़ुरात वही तिश्नगी का मंज़र है
वही हुसैन वही क़ातिलों का लश्कर है

ये किस मक़ाम पे लाई है ज़िंदगी हम को
हँसी लबों पे है सीने में ग़म का दफ़्तर है

यक़ीन किस पे करें किस को दोस्त ठहराएँ
हर आस्तीन में पोशीदा कोई ख़ंजर है

गिला नहीं मिरे होंटों पे तंग-दस्ती का
ख़ुदा का शुक्र मिरा दिल अभी तवंगर है

कोई तो है जो धड़कता है ज़िंदगी बन कर
कोई तो है जो हमारे दिलों के अंदर है

उसे क़रीब से देखा तो ये हुआ मालूम
वो बू-ए-गुल नहीं शमशीर-ए-बाद-ए-सरसर है

समझ के आग लगाना हमारे घर में तुम
हमारे घर के बराबर तुम्हारा भी घर है

मिरी जबीं को हक़ारत से देखने वाले
मिरी जबीं से तिरा आस्ताँ मुनव्वर है

तुम्हारे क़ुर्ब की लज़्ज़त नसीब है जिस को
वो एक लम्हा हयात-ए-अबद से बेहतर है

हमारा जुर्म यही है कि हक़-परस्त हैं हम
हमारे ख़ून का प्यासा हर एक ख़ंजर है

वो मेरे सामने आए तो किस तरह आए
कोई लिबास है उस का न कोई पैकर है

हर इक बला से बचाए हुए है जो हम को
हमारे सर पे ये माँ की दुआ की चादर है

भटक रहा हूँ मैं सदियों से दश्त-ए-ग़ुर्बत में
कोई तो मुझ को बताए कहाँ मिरा घर है

अभी 'हफ़ीज़' गुलाबों की बात मत कीजे
लहूलुहान अभी गुलसिताँ का मंज़र है

- Hafeez Banarsi
1 Like

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarsi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarsi

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari