lahu ki may banaai dil ka paimaana bana daala | लहू की मय बनाई दिल का पैमाना बना डाला

  - Hafeez Banarsi

lahu ki may banaai dil ka paimaana bana daala
jigar-daaron ne maqtal ko bhi may-khaana bana daala

hamaare jazba-e-taameer ki kuchh daad do yaaro
ki ham ne bijliyon ko sham'a ka shaana bana daala

sitam dhhaate ho lekin lutf ka ehsaas hota hai
isee andaaz ne duniya ko deewaana bana daala

bhari mehfil mein ham ne baat kar li thi un aankhon se
bas itni baat ka yaaron ne afsaana bana daala

mere zauq-e-parastish ki karishma-saaziyaan dekho
kabhi ka'ba kabhi ka'be ko but-khaana bana daala

shikaayat bijliyon se hai na shikwa baad-e-sarsar se
chaman ko khud chaman waalon ne veeraana bana daala

chalo achha hua duniya hafiz ab door hai ham se
mohabbat ne hamein duniya se begaana bana daala

लहू की मय बनाई दिल का पैमाना बना डाला
जिगर-दारों ने मक़्तल को भी मय-ख़ाना बना डाला

हमारे जज़्बा-ए-तामीर की कुछ दाद दो यारो
कि हम ने बिजलियों को शम्अ' का शाना बना डाला

सितम ढाते हो लेकिन लुत्फ़ का एहसास होता है
इसी अंदाज़ ने दुनिया को दीवाना बना डाला

भरी महफ़िल में हम ने बात कर ली थी उन आँखों से
बस इतनी बात का यारों ने अफ़्साना बना डाला

मिरे ज़ौक़-ए-परस्तिश की करिश्मा-साज़ियाँ देखो
कभी का'बा कभी का'बे को बुत-ख़ाना बना डाला

शिकायत बिजलियों से है न शिकवा बाद-ए-सरसर से
चमन को ख़ुद चमन वालों ने वीराना बना डाला

चलो अच्छा हुआ दुनिया 'हफ़ीज़' अब दूर है हम से
मोहब्बत ने हमें दुनिया से बेगाना बना डाला

  - Hafeez Banarsi

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarsi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarsi

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari