muddat ki tishnagi ka inaam chahta hoon | मुद्दत की तिश्नगी का इनआम चाहता हूँ

  - Hafeez Banarsi

muddat ki tishnagi ka inaam chahta hoon
masti bhari nazar se ik jaam chahta hoon

ai gardish-e-zamaana zahmat to hogi tujh ko
kuchh der ke liye main aaraam chahta hoon

kal ham se kah raha tha shohrat-talab zamaana
tum kaam chahte ho main naam chahta hoon

subh-e-hayaat le le ai zulf-e-yaar lekin
main tujh se is ke badle ik shaam chahta hoon

baad-e-saba se kah do meri taraf bhi aaye
main bhi hafiz un ka paighaam chahta hoon

मुद्दत की तिश्नगी का इनआम चाहता हूँ
मस्ती भरी नज़र से इक जाम चाहता हूँ

ऐ गर्दिश-ए-ज़माना ज़हमत तो होगी तुझ को
कुछ देर के लिए मैं आराम चाहता हूँ

कल हम से कह रहा था शोहरत-तलब ज़माना
तुम काम चाहते हो मैं नाम चाहता हूँ

सुब्ह-ए-हयात ले ले ऐ ज़ुल्फ़-ए-यार लेकिन
मैं तुझ से इस के बदले इक शाम चाहता हूँ

बाद-ए-सबा से कह दो मेरी तरफ़ भी आए
मैं भी 'हफ़ीज़' उन का पैग़ाम चाहता हूँ

  - Hafeez Banarsi

Raqs Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarsi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarsi

Similar Moods

As you were reading Raqs Shayari Shayari