tez jab khanjar-e-bedaad kiya jaayega | तेज़ जब ख़ंजर-ए-बेदाद किया जाएगा

  - Hafeez Banarsi

tez jab khanjar-e-bedaad kiya jaayega
ham ghareebon ka gala yaad kiya jaayega

gair ko khush hamein naashaad kiya jaayega
kab talak ye sitam ijaad kiya jaayega

ye to batlaao hamein shehar basaane waalo
dil ka veeraana kab aabaad kiya jaayega

aur kya hoga tire ahad-e-sitam mein ai dost
roz taaza sitam ijaad kiya jaayega

ye jahaan murda-parston ka jahaan hai yaaro
ham na honge to hamein yaad kiya jaayega

dast-o-baazu se bhi kuchh kaam liya jaaye hafiz
ta-b-kai shikwaa-e-sayyaad kiya jaayega

तेज़ जब ख़ंजर-ए-बेदाद किया जाएगा
हम ग़रीबों का गला याद किया जाएगा

ग़ैर को ख़ुश हमें नाशाद किया जाएगा
कब तलक ये सितम ईजाद किया जाएगा

ये तो बतलाओ हमें शहर बसाने वालो
दिल का वीराना कब आबाद किया जाएगा

और क्या होगा तिरे अहद-ए-सितम में ऐ दोस्त
रोज़ ताज़ा सितम ईजाद किया जाएगा

ये जहाँ मुर्दा-परस्तों का जहाँ है यारो
हम न होंगे तो हमें याद किया जाएगा

दस्त-ओ-बाज़ू से भी कुछ काम लिया जाए 'हफ़ीज़'
ता-ब-कै शिकवा-ए-सय्याद किया जाएगा

  - Hafeez Banarsi

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarsi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarsi

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari