vo to baithe rahe sar jhukaaye hue | वो तो बैठे रहे सर झुकाए हुए

  - Hafeez Banarsi

vo to baithe rahe sar jhukaaye hue
jaadu un ki nigaahon ke chalte rahe

mushkilon ne bahut raah roki magar
jin ko manzil ki dhun thi vo chalte rahe

main unhen bhi gale se lagata raha
mere baare mein jo zahar ugalte rahe

ham to qaaim rahe apni har baat par
tum b-rang-e-zamaana badalte rahe

yaad ke jugnuon se vo aalam raha
deep bujhte rahe deep jalte rahe

ham ne daaman na apna bhigoya hafiz
dil mein toofaan laakhon machalte rahe

वो तो बैठे रहे सर झुकाए हुए
जादू उन की निगाहों के चलते रहे

मुश्किलों ने बहुत राह रोकी मगर
जिन को मंज़िल की धुन थी वो चलते रहे

मैं उन्हें भी गले से लगाता रहा
मेरे बारे में जो ज़हर उगलते रहे

हम तो क़ाएम रहे अपनी हर बात पर
तुम ब-रंग-ए-ज़माना बदलते रहे

याद के जुगनुओं से वो आलम रहा
दीप बुझते रहे दीप जलते रहे

हम ने दामन न अपना भिगोया 'हफ़ीज़'
दिल में तूफ़ान लाखों मचलते रहे

  - Hafeez Banarsi

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarsi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarsi

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari