ye aur baat ki lahja udaas rakhte hain | ये और बात कि लहजा उदास रखते हैं - Hafeez Banarsi

ye aur baat ki lahja udaas rakhte hain
khizaan ke geet bhi apni mithaas rakhte hain

kahein to kya kahein hum un ki saada-laohi ko
jo qaatilon se tarahhum ki aas rakhte hain

kisi ke saamne failaaiin kis liye daaman
tumhaare dard ki daulat jo paas rakhte hain

unhen hayaat ki tohmat na do abas yaaro
jo apna jism na apna libaas rakhte hain

qareeb-e-gul-badanaan rah chuke hain deewane
ye khaar vo hain jo phoolon ki baas rakhte hain

kahaan bhigoye koi apne khushk honton ko
ye daur vo hai ki dariya bhi pyaas rakhte hain

khuda ka shukr ada kijeye khush-naseebi par
hafiz aap dil-e-gham-shanaas rakhte hain

ये और बात कि लहजा उदास रखते हैं
ख़िज़ाँ के गीत भी अपनी मिठास रखते हैं

कहें तो क्या कहें हम उन की सादा-लौही को
जो क़ातिलों से तरह्हुम की आस रखते हैं

किसी के सामने फैलाईं किस लिए दामन
तुम्हारे दर्द की दौलत जो पास रखते हैं

उन्हें हयात की तोहमत न दो अबस यारो
जो अपना जिस्म न अपना लिबास रखते हैं

क़रीब-ए-गुल-बदनाँ रह चुके हैं दीवाने
ये ख़ार वो हैं जो फूलों की बास रखते हैं

कहाँ भिगोए कोई अपने ख़ुश्क होंटों को
ये दौर वो है कि दरिया भी प्यास रखते हैं

ख़ुदा का शुक्र अदा कीजे ख़ुश-नसीबी पर
'हफ़ीज़' आप दिल-ए-ग़म-शनास रखते हैं

- Hafeez Banarsi
0 Likes

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarsi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarsi

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari