ye haadsa bhi sheher-e-nigaaraan mein ho gaya | ये हादसा भी शहर-ए-निगाराँ में हो गया

  - Hafeez Banarsi

ye haadsa bhi sheher-e-nigaaraan mein ho gaya
be-chehergi ki bheed mein har chehra kho gaya

jis ko saza mili thi ki jaage tamaam umr
sunta hoon aaj maut ki baanhon mein so gaya

harkat kisi mein hai na hararat kisi mein hai
kya shehar tha jo barf ki chattan ho gaya

main us ko nafratoin ke siva kuchh na de saka
vo chaahaton ka beej mere dil mein bo gaya

marham to rakh saka na koi mere zakham par
jo aaya ek nishtar-e-taaza chubho gaya

ya kijie qubool ki har chehra zard hai
ya kahiye har nigaah ko yarqaan ho gaya

main ne to apne gham ki kahaani sunaai thi
kyun apne apne gham mein har ik shakhs kho gaya

us dushman-e-wafa ko dua de raha hoon main
mera na ho saka vo kisi ka to ho gaya

ik maah-vash ne choom li peshaani-e-'hafiz
dilchasp haadsa tha jo kal raat ho gaya

ये हादसा भी शहर-ए-निगाराँ में हो गया
बे-चेहरगी की भीड़ में हर चेहरा खो गया

जिस को सज़ा मिली थी कि जागे तमाम उम्र
सुनता हूँ आज मौत की बाँहों में सो गया

हरकत किसी में है न हरारत किसी में है
क्या शहर था जो बर्फ़ की चट्टान हो गया

मैं उस को नफ़रतों के सिवा कुछ न दे सका
वो चाहतों का बीज मिरे दिल में बो गया

मरहम तो रख सका न कोई मेरे ज़ख़्म पर
जो आया एक निश्तर-ए-ताज़ा चुभो गया

या कीजिए क़ुबूल कि हर चेहरा ज़र्द है
या कहिए हर निगाह को यरक़ान हो गया

मैं ने तो अपने ग़म की कहानी सुनाई थी
क्यूँ अपने अपने ग़म में हर इक शख़्स खो गया

उस दुश्मन-ए-वफ़ा को दुआ दे रहा हूँ मैं
मेरा न हो सका वो किसी का तो हो गया

इक माह-वश ने चूम ली पेशानी-ए-'हफ़ीज़'
दिलचस्प हादसा था जो कल रात हो गया

  - Hafeez Banarsi

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarsi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarsi

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari