arz-e-hunar bhi vajh-e-shikaayaat ho gai | अर्ज़-ए-हुनर भी वज्ह-ए-शिकायात हो गई

  - Hafeez Jalandhari

arz-e-hunar bhi vajh-e-shikaayaat ho gai
chhota sa munh tha mujh se badi baat ho gai

dushnaam ka jawaab na soojha b-juz-salaam
zaahir mere kalaam ki auqaat ho gai

dekha jo kha ke teer kameen-gaah ki taraf
apne hi doston se mulaqaat ho gai

ya zarbat-e-khaleel se but-khaana cheekh utha
ya pattharon ko maarifat-e-zaat ho gai

yaraan-e-be-bisaat ki har baazi-e-hayaat
khele baghair haar gaye maat ho gai

be-razm din guzaar liya ratjaga manao
ai ahl-e-bazm jaag utho raat ho gai

nikle jo may-kade se to masjid tha har maqaam
har gaam par talaafi-e-maafaat ho gai

hadd-e-amal mein thi to amal thi yahi sharaab
radd-e-amal bani to mukaafat ho gai

ab shukr na-qubool hai shikwa fuzool hai
jaise bhi ho gai basr-auqaat ho gai

vo khush-naseeb tum se mulaqaat kyun kare
darbaan hi se jis ki mudaarat ho gai

har ek rehnuma se bichadna pada mujhe
har mod par koi na koi ghaat ho gai

yaaron ki barhmi pe hasi aa gai hafiz
ye mujh se ek aur buri baat ho gai

अर्ज़-ए-हुनर भी वज्ह-ए-शिकायात हो गई
छोटा सा मुँह था मुझ से बड़ी बात हो गई

दुश्नाम का जवाब न सूझा ब-जुज़-सलाम
ज़ाहिर मिरे कलाम की औक़ात हो गई

देखा जो खा के तीर कमीं-गाह की तरफ़
अपने ही दोस्तों से मुलाक़ात हो गई

या ज़रबत-ए-ख़लील से बुत-ख़ाना चीख़ उठा
या पत्थरों को मअरिफ़त-ए-ज़ात हो गई

यरान-ए-बे-बिसात कि हर बाज़ी-ए-हयात
खेले बग़ैर हार गए मात हो गई

बे-रज़्म दिन गुज़ार लिया रतजगा मनाओ
ऐ अहल-ए-बज़्म जाग उठो रात हो गई

निकले जो मय-कदे से तो मस्जिद था हर मक़ाम
हर गाम पर तलाफ़ी-ए-माफ़ात हो गई

हद्द-ए-अमल में थी तो अमल थी यही शराब
रद्द-ए-अमल बनी तो मुकाफ़ात हो गई

अब शुक्र ना-क़ुबूल है शिकवा फ़ुज़ूल है
जैसे भी हो गई बसर-औक़ात हो गई

वो ख़ुश-नसीब तुम से मुलाक़ात क्यूँ करे
दरबान ही से जिस की मुदारात हो गई

हर एक रहनुमा से बिछड़ना पड़ा मुझे
हर मोड़ पर कोई न कोई घात हो गई

यारों की बरहमी पे हँसी आ गई 'हफ़ीज़'
ये मुझ से एक और बुरी बात हो गई

  - Hafeez Jalandhari

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari