dil dard ki shiddat se khoon-gashta o see-paara | दिल दर्द की शिद्दत से ख़ूँ-गश्ता ओ सी-पारा

  - Ibn E Insha

dil dard ki shiddat se khoon-gashta o see-paara
is shehar mein firta hai ik vahshi-o-aawaara
shayar hai ki aashiq hai jogi hai ki banjaara
darwaaza khula rakhna

seene se ghatta utthe aankhon se jhadi barase
fagun ka nahin baadal jo chaar-ghadi barase
barkha hai ye bhaadon ki barase to badi barase
darwaaza khula rakhna

aankhon mein to ik aalam aankhon mein to duniya hai
honton pe magar mohrein munh se nahin kehta hai
kis cheez ko kho baitha kya dhoondhne nikla hai
darwaaza khula rakhna

haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori
saajan hai tira saajan ab tujh se to kya chori
ye jis ki munaadi hai basti mein tiri gori
darwaaza khula rakhna

shikvon ko utha rakhna aankhon ko bichha rakhna
ik sham'a dariche ki chaukhat pe jala rakhna
mayus na phir jaaye haan paas-e-wafa rakhna
darwaaza khula rakhna
darwaaza khula rakhna

दिल दर्द की शिद्दत से ख़ूँ-गश्ता ओ सी-पारा
इस शहर में फिरता है इक वहशी-ओ-आवारा
शायर है कि आशिक़ है, जोगी है कि बंजारा
दरवाज़ा खुला रखना

सीने से घटा उट्ठे आँखों से झड़ी बरसे
फागुन का नहीं बादल, जो चार-घड़ी बरसे
बरखा है ये भादों की, बरसे तो बड़ी बरसे
दरवाज़ा खुला रखना

आँखों में तो इक आलम आँखों में तो दुनिया है
होंटों पे मगर मोहरें मुँह से नहीं कहता है
किस चीज़ को खो बैठा क्या ढूँडने निकला है
दरवाज़ा खुला रखना

हाँ थाम मोहब्बत की गर थाम सके डोरी
साजन है तिरा साजन अब तुझ से तो क्या चोरी
ये जिस की मुनादी है बस्ती में तिरी गोरी
दरवाज़ा खुला रखना

शिकवों को उठा रखना, आँखों को बिछा रखना
इक शम्अ दरीचे की चौखट पे जला रखना
मायूस न फिर जाये, हाँ पास-ए-वफ़ा रखना
दरवाज़ा खुला रखना
दरवाज़ा खुला रखना

  - Ibn E Insha

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari