mujhe na dekho mere jism ka dhuaan dekho | मुझे न देखो मिरे जिस्म का धुआँ देखो

  - Ibrahim Ashk

mujhe na dekho mere jism ka dhuaan dekho
jala hai kaise ye aabaad sa makaan dekho

na chaat jaaye kaddi dhoop surkhiyaan lab ki
shajar ki chaanv kisi ghar ka saaebaan dekho

mohabbaton ki tasalli bahut zaroori hai
sitam ke shehar mein ik yaar-e-mehrabaan dekho

koi bharosa nahin abr ke barsne ka
badhegi pyaas ki shiddat na aasmaan dekho

tumhaara waqt nahin sach ke bolne waalo
na chup rahoge to kat jaayegi zabaan dekho

koi haseen abhi raaste se guzra hai
lagao aankh se qadmon ke jo nishaan dekho

hunar to roz hi bikta hai chand sikko mein
khareed le na zamaana tumhein amaan dekho

nahin hai tum mein saleeqa jo ghar banaane ka
to ashk jaao parindon ke aashiyaan dekho

मुझे न देखो मिरे जिस्म का धुआँ देखो
जला है कैसे ये आबाद सा मकाँ देखो

न चाट जाए कड़ी धूप सुर्ख़ियाँ लब की
शजर की छाँव किसी घर का साएबाँ देखो

मोहब्बतों की तसल्ली बहुत ज़रूरी है
सितम के शहर में इक यार-ए-मेहरबाँ देखो

कोई भरोसा नहीं अब्र के बरसने का
बढ़ेगी प्यास की शिद्दत न आसमाँ देखो

तुम्हारा वक़्त नहीं सच के बोलने वालो
न चुप रहोगे तो कट जाएगी ज़बाँ देखो

कोई हसीन अभी रास्ते से गुज़रा है
लगाओ आँख से क़दमों के जो निशाँ देखो

हुनर तो रोज़ ही बिकता है चंद सिक्कों में
ख़रीद ले न ज़माना तुम्हें अमाँ देखो

नहीं है तुम में सलीक़ा जो घर बनाने का
तो 'अश्क' जाओ परिंदों के आशियाँ देखो

  - Ibrahim Ashk

haseen Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibrahim Ashk

As you were reading Shayari by Ibrahim Ashk

Similar Writers

our suggestion based on Ibrahim Ashk

Similar Moods

As you were reading haseen Shayari Shayari