ajab ghadi thi | अजब घड़ी थी

  - Iftikhar Arif

ajab ghadi thi
kitaab keechad mein gir padi thi
chamakte lafzon ki mailee aankhon mein uljhe aansu bula rahe the
magar mujhe hosh hi kahaan tha
nazar mein ik aur hi jahaan tha
naye naye manzaron ki khwaahish mein apne manzar se kat gaya hoon
naye naye daayron ki gardish mein apne mehwar se hat gaya hoon
sila jazaa khauf na-ummeedi
umeed imkaan be-yaqeeni
hazaar khaanon mein bat gaya hoon
ab is se pehle ki raat apni kamand dale ye chahta hoon ki laut jaaun
ajab nahin vo kitaab ab bhi wahin padi ho
ajab nahin aaj bhi meri raah dekhti ho
chamakte lafzon ki mailee aankhon mein uljhe aansu
ajab nahin mere lafz mujh ko mua'af kar den
hawaa-o-hirs-o-hawas ki sab gard saaf kar den
ajab ghadi thi
kitaab keechad mein gir padi thi

अजब घड़ी थी
किताब कीचड़ में गिर पड़ी थी
चमकते लफ़्ज़ों की मैली आँखों में उलझे आँसू बुला रहे थे
मगर मुझे होश ही कहाँ था
नज़र में इक और ही जहाँ था
नए नए मंज़रों की ख़्वाहिश में अपने मंज़र से कट गया हूँ
नए नए दाएरों की गर्दिश में अपने मेहवर से हट गया हूँ
सिला जज़ा ख़ौफ़ ना-उमीदी
उमीद इम्कान बे-यक़ीनी
हज़ार ख़ानों में बट गया हूँ
अब इस से पहले कि रात अपनी कमंद डाले ये चाहता हूँ कि लौट जाऊँ
अजब नहीं वो किताब अब भी वहीं पड़ी हो
अजब नहीं आज भी मिरी राह देखती हो
चमकते लफ़्ज़ों की मैली आँखों में उलझे आँसू
अजब नहीं मिरे लफ़्ज़ मुझ को मुआ'फ़ कर दें
हवा-ओ-हिर्स-ओ-हवस की सब गर्द साफ़ कर दें
अजब घड़ी थी
किताब कीचड़ में गिर पड़ी थी

  - Iftikhar Arif

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari