ajeeb log hain
ham ahl-e-e'tibaar kitne bad-naseeb log hain
jo raat jaagne ki thi vo saari raat
khwaab dekh dekh kar guzaarte rahe
jo naam bhoolne ka tha us ek naam ko
gali gali pukaarte rahe
jo khel jeetne ka tha vo khel haarte rahe
ajeeb log hain
ham ahl-e-e'tibaar kitne bad-naseeb log hain
kisi se bhi to qarz-e-aabroo ada nahin hua
lahu-luhaan saaton ka faisla nahin hua
baras guzar gaye hain koi mojza nahin hua
vo jal-bujha ki aag jis ke shola-e-nafs mein thi
vo teer kha gaya kamaan jis ki dastaras mein thi
sipaah-e-mahr ka fasil-e-shab ko intizaar hai
kab aayega vo shakhs jis ka sab ko intizaar hai
ham ahl-e-e'tibaar kitne bad-naseeb log hain
ajeeb log hain
ham ahl-e-e'tibaar kitne bad-naseeb log hain
अजीब लोग हैं
हम अहल-ए-ए'तिबार कितने बद-नसीब लोग हैं
जो रात जागने की थी वो सारी रात
ख़्वाब देख देख कर गुज़ारते रहे
जो नाम भूलने का था उस एक नाम को
गली गली पुकारते रहे
जो खेल जीतने का था वो खेल हारते रहे
अजीब लोग हैं
हम अहल-ए-ए'तिबार कितने बद-नसीब लोग हैं
किसी से भी तो क़र्ज़-ए-आबरू अदा नहीं हुआ
लहू-लुहान साअतों का फ़ैसला नहीं हुआ
बरस गुज़र गए हैं कोई मोजज़ा नहीं हुआ
वो जल-बुझा कि आग जिस के शोला-ए-नफ़स में थी
वो तीर खा गया कमान जिस की दस्तरस में थी
सिपाह-ए-महर का फ़सील-ए-शब को इंतिज़ार है
कब आएगा वो शख़्स जिस का सब को इंतिज़ार है
हम अहल-ए-ए'तिबार कितने बद-नसीब लोग हैं
अजीब लोग हैं
हम अहल-ए-ए'तिबार कितने बद-नसीब लोग हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Charagh Shayari Shayari