main laakh buzdil sahi magar main usi qabeele ka aadmi hoon ki jis ke beton ne | मैं लाख बुज़दिल सही मगर मैं उसी क़बीले का आदमी हूँ कि जिस के बेटों ने

  - Iftikhar Arif

main laakh buzdil sahi magar main usi qabeele ka aadmi hoon ki jis ke beton ne
jo kaha us pe jaan de di
main jaanta tha mere qabeele ki khema-gahein jalai jaayengi aur tamaashaai
raqs-e-shola-fishaan par israar hi karenge
main jaanta tha mera qabeela burida aur be-rida saroon ki gawaahiyaan
le ke aayega phir bhi log inkaar hi karenge
so main kameen-gaah-e-aafiyat mein chala gaya tha
so main amaan-gaah-e-maslahaat mein chala gaya tha
aur ab mujhe mere shahsawaron ka khoon awaaz de raha hai
to nazr-e-sar le ke aa gaya hoon
tabaah hone ko ek ghar le ke aa gaya hoon
main laakh buzdil sahi magar main usi qabeele ka aadmi hoon

मैं लाख बुज़दिल सही मगर मैं उसी क़बीले का आदमी हूँ कि जिस के बेटों ने
जो कहा उस पे जान दे दी
मैं जानता था मिरे क़बीले की ख़ेमा-गाहें जलाई जाएँगी और तमाशाई
रक़्स-ए-शोला-फ़िशाँ पर इसरार ही करेंगे
मैं जानता था मिरा क़बीला बुरीदा और बे-रिदा सरों की गवाहियाँ
ले के आएगा फिर भी लोग इंकार ही करेंगे
सो मैं कमीं-गाह-ए-आफ़ियत में चला गया था
सो मैं अमाँ-गाह-ए-मस्लहत में चला गया था
और अब मुझे मेरे शहसवारों का ख़ून आवाज़ दे रहा है
तो नज़्र-ए-सर ले के आ गया हूँ
तबाह होने को एक घर ले के आ गया हूँ
मैं लाख बुज़दिल सही मगर मैं उसी क़बीले का आदमी हूँ!

  - Iftikhar Arif

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari