jauhri ko kya maaloom kis tarah ki mitti mein kaise phool hote hain | जौहरी को क्या मालूम किस तरह की मिट्टी में कैसे फूल होते हैं

  - Iftikhar Arif

jauhri ko kya maaloom kis tarah ki mitti mein kaise phool hote hain
kis tarah ke phoolon mein
kaisi baas hoti hai
jauhri ko kya maaloom
jauhri to saari umr pattharon mein rehta hai
zar-garon mein rehta hai
jauhri ko kya maaloom
ye to bas wahi jaane
jis ne apni mitti se
apna ek ik paimaan
ustuvaar rakha ho
jis ne harf-e-paimaan ka e'tibaar rakha ho
jauhri ko kya maaloom kis tarah ki mitti mein kaise phool hote hain
kis tarah ke phoolon mein kaisi baas hoti hai

जौहरी को क्या मालूम किस तरह की मिट्टी में कैसे फूल होते हैं
किस तरह के फूलों में
कैसी बास होती है
जौहरी को क्या मालूम
जौहरी तो सारी उम्र पत्थरों में रहता है
ज़र-गरों में रहता है
जौहरी को क्या मालूम
ये तो बस वही जाने
जिस ने अपनी मिट्टी से
अपना एक इक पैमाँ
उस्तुवार रक्खा हो
जिस ने हर्फ़-ए-पैमाँ का ए'तिबार रक्खा हो
जौहरी को क्या मालूम किस तरह की मिट्टी में कैसे फूल होते हैं
किस तरह के फूलों में कैसी बास होती है

  - Iftikhar Arif

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari