urdu hai mera naam main khusarav ki paheli | उर्दू है मिरा नाम मैं 'ख़ुसरव' की पहेली - Iqbal Ashhar

urdu hai mera naam main khusarav ki paheli
main meer ki hamraaz hoon ghalib ki saheli
dakkan ke wali ne mujhe godi mein khelaaya
sauda ke qaseedon ne mera husn badhaaya
hai meer ki azmat ki mujhe chalna sikhaaya
main daagh ke aangan mein khili ban ke chameli

urdu hai mera naam main khusarav ki paheli

ghalib ne bulandi ka safar mujh ko sikhaaya
haali ne muravvat ka sabq yaad dilaayaa
iqbaal ne aaina-e-haq mujh ko dikhaaya
mumin ne sajaai mere khwaabon ki haveli

urdu hai mera naam main khusarav ki paheli hai

zauq ki azmat ki diye mujh ko sahaare
chakbast ki ulfat ne mere khwaab sanwaare
faani ne sajaaye meri palkon pe sitaare
akbar ne rachaai meri be-rang hatheli

urdu hai mera naam main khusarav ki paheli

kyun mujh ko banaate ho taassub ka nishaana
maine to kabhi khud ko musalmaan nahin maana
dekha tha kabhi maine bhi khushiyon ka zamaana
apne hi watan mein hoon magar aaj akeli

urdu hai mera naam main khusarav ki paheli

उर्दू है मिरा नाम मैं 'ख़ुसरव' की पहेली
मैं 'मीर' की हमराज़ हूं 'ग़ालिब' की सहेली
दक्कन के 'वली' ने मुझे गोदी में खेलाया
'सौदा' के क़सीदों ने मिरा हुस्न बढ़ाया
है 'मीर' की अज़्मत कि मुझे चलना सिखाया
मैं दाग़ के आंगन में खिली बन के चमेली

उर्दू है मिरा नाम मैं 'ख़ुसरव' की पहेली

'ग़ालिब' ने बुलंदी का सफ़र मुझ को सिखाया
'हाली' ने मुरव्वत का सबक़ याद दिलाया
'इक़बाल' ने आईना-ए-हक़ मुझ को दिखाया
'मोमिन' ने सजाई मिरे ख़्वाबों की हवेली

उर्दू है मिरा नाम मैं 'ख़ुसरव' की पहेली है

'ज़ौक़' की अज़्मत कि दिए मुझ को सहारे
'चकबस्त' की उल्फ़त ने मिरे ख़्वाब संवारे
'फ़ानी' ने सजाए मिरी पलकों पे सितारे
'अकबर' ने रचाई मिरी बे-रंग हथेली

उर्दू है मिरा नाम मैं 'ख़ुसरव' की पहेली

क्यूं मुझ को बनाते हो तअस्सुब का निशाना
मैंने तो कभी ख़ुद को मुसलमां नहीं माना
देखा था कभी मैंने भी ख़ुशियों का ज़माना
अपने ही वतन में हूं मगर आज अकेली

उर्दू है मिरा नाम मैं 'ख़ुसरव' की पहेली

- Iqbal Ashhar
11 Likes

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iqbal Ashhar

As you were reading Shayari by Iqbal Ashhar

Similar Writers

our suggestion based on Iqbal Ashhar

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari