lucknow mere watan mere chaman-zaar watan
tere gahwaara-e-aaghosh mein ai jaan-e-bahaar
apni duniya-e-haseen dafn kiye jaata hoon
tu ne jis dil ko dhadkane ki ada bakshi thi
aaj vo dil bhi yahin dafn kiye jaata hoon
dafn hai dekh mera ahad-e-bahaaraan tujh mein
dafn hai dekh meri rooh-e-gulistaan tujh mein
meri gul-posh jawaan-saal umangon ka suhaag
meri shaadaab tamannaa ke mehakte hue khwaab
meri bedaar jawaani ke firozaan mah o saal
meri shaamon ki malaahat meri subhon ka jamaal
meri mehfil ka fasana meri khilwat ka fusoon
meri deewaangi-e-shauq mera naaz-e-junoon
mere marne ka saleeqa mere jeene ka shu'ur
mera naamooos-e-wafa meri mohabbat ka ghuroor
meri nabzon ka tarannum mere nagmon ki pukaar
mere sher'on ki sajaavat mere geeton ka singaar
lucknow apna jahaan saunp chala hoon tujh ko
apna har khwaab-e-jawaan saunp chala hoon tujh ko
apna sarmaaya-e-jaan saunp chala hoon tujh ko
lucknow mere watan mere chaman-zaar watan
ye mere pyaar ka madfan hi nahin hai tanhaa
dafn hain is mein mohabbat ke khazaane kitne
ek unwaan mein muzmar hain fasaane kitne
ik behn apni rifaqat ki qasam khaaye hue
ek maa mar ke bhi seene mein liye maa ka gudaaz
apne bacchon ke ladakpan ko kaleje se lagaaye
apne khilte hue maasoom shagoofoon ke liye
band aankhon mein bahaaron ke jawaan khwaab basaaye
ye mere pyaar ka madfan hi nahin hai tanhaa
ek saathi bhi tah-e-khaak yahan soti hai
arsa-e-dehr ki be-rehm kashaaksh ka shikaar
jaan de kar bhi zamaane se na maane hue haar
apne tevar mein wahi azm-e-jawaan-saal liye
ye mere pyaar ka madfan hi nahin hai tanhaa
dekh ik sham-e-sar-e-raah-guzar chalti hai
jagmagataa hai agar koi nishaan-e-manzil
zindagi aur bhi kuchh tez qadam chalti hai
lucknow mere watan mere chaman-zaar watan
dekh is khwaab-gah-e-naaz pe kal mauj-e-saba
le ke nau-roz-e-bahaaraan ki khabar aayegi
surkh phoolon ka bade naaz se goondhe hue haar
kal isee khaak pe gul-rang sehar aayegi
kal isee khaak ke zarroon mein samaa jaayega rang
kal mere pyaar ki tasveer ubhar aayegi
ai meri rooh-e-chaman khaak-e-lahd se teri
aaj bhi mujh ko tire pyaar ki boo aati hai
zakham seene ke mehakte hain tiri khushboo se
vo mahak hai ki meri saans ghuti jaati hai
mujh se kya baat banaayegi zamaane ki jafaa
maut khud aankh milaate hue sharmaati hai
main aur in aankhon se dekhoon tujhe paivand-e-zameen
is qadar zulm nahin haaye nahin haaye nahin
koi ai kaash bujha de meri aankhon ke diye
cheen le mujh se koi kaash nigaahen meri
ai meri sham-e-wafa ai meri manzil ke charaagh
aaj tareek hui jaati hain raahen meri
tujh ko rooun bhi to kya rooun ki in aankhon mein
ashk patthar ki tarah jam se gaye hain mere
zindagi arsa-gah-e-johd-e-musalsal hi sahi
ek lamhe ko qadam tham se gaye hain mere
phir bhi is arsa-gah-e-johd-e-musalsal se mujhe
koi awaaz pe awaaz diye jaata hai
aaj sota hi tujhe chhod ke jaana hoga
naaz ye bhi gham-e-dauraan ka uthaana hoga
zindagi dekh mujhe hukm-e-safar deti hai
ik dil-e-shola-b-jaan saath liye jaata hoon
har qadam tu ne kabhi azm-e-javaan baksha tha
main wahi azm-e-javaan saath liye jaata hoon
choom kar aaj tiri khaak-e-lahd ke zarre
an-ginat phool mohabbat ke chadhata jaaun
jaane is samt kabhi mera guzar ho ki na ho
aakhiri baar gale tujh ko lagata jaaun
lucknow mere watan mere chaman-zaar watan
dekh is khaak ko aankhon mein basa kar rakhna
is amaanat ko kaleje se laga kar rakhna
लखनऊ मेरे वतन मेरे चमन-ज़ार वतन
तेरे गहवारा-ए-आग़ोश में ऐ जान-ए-बहार
अपनी दुनिया-ए-हसीं दफ़्न किए जाता हूँ
तू ने जिस दिल को धड़कने की अदा बख़्शी थी
आज वो दिल भी यहीं दफ़्न किए जाता हूँ
दफ़्न है देख मिरा अहद-ए-बहाराँ तुझ में
दफ़्न है देख मिरी रूह-ए-गुलिस्ताँ तुझ में
मेरी गुल-पोश जवाँ-साल उमंगों का सुहाग
मेरी शादाब तमन्ना के महकते हुए ख़्वाब
मेरी बेदार जवानी के फ़िरोज़ाँ मह ओ साल
मेरी शामों की मलाहत मिरी सुब्हों का जमाल
मेरी महफ़िल का फ़साना मिरी ख़ल्वत का फ़ुसूँ
मेरी दीवानगी-ए-शौक़ मिरा नाज़-ए-जुनून
मेरे मरने का सलीक़ा मिरे जीने का शुऊ'र
मेरा नामूस-ए-वफ़ा मेरी मोहब्बत का ग़ुरूर
मेरी नब्ज़ों का तरन्नुम मिरे नग़्मों की पुकार
मेरे शे'रों की सजावट मिरे गीतों का सिंगार
लखनऊ अपना जहाँ सौंप चला हूँ तुझ को
अपना हर ख़्वाब-ए-जवाँ सौंप चला हूँ तुझ को
अपना सरमाया-ए-जाँ सौंप चला हूँ तुझ को
लखनऊ मेरे वतन मेरे चमन-ज़ार वतन
ये मिरे प्यार का मदफ़न ही नहीं है तन्हा
दफ़्न हैं इस में मोहब्बत के ख़ज़ाने कितने
एक उन्वान में मुज़्मर हैं फ़साने कितने
इक बहन अपनी रिफ़ाक़त की क़सम खाए हुए
एक माँ मर के भी सीने में लिए माँ का गुदाज़
अपने बच्चों के लड़कपन को कलेजे से लगाए
अपने खिलते हुए मासूम शगूफ़ों के लिए
बंद आँखों में बहारों के जवाँ ख़्वाब बसाए
ये मिरे प्यार का मदफ़न ही नहीं है तन्हा
एक साथी भी तह-ए-ख़ाक यहाँ सोती है
अरसा-ए-दहर की बे-रहम कशाकश का शिकार
जान दे कर भी ज़माने से न माने हुए हार
अपने तेवर में वही अज़्म-ए-जवाँ-साल लिए
ये मिरे प्यार का मदफ़न ही नहीं है तन्हा
देख इक शम-ए-सर-ए-राह-गुज़र चलती है
जगमगाता है अगर कोई निशान-ए-मंज़िल
ज़िंदगी और भी कुछ तेज़ क़दम चलती है
लखनऊ मेरे वतन मेरे चमन-ज़ार वतन
देख इस ख़्वाब-गह-ए-नाज़ पे कल मौज-ए-सबा
ले के नौ-रोज़-ए-बहाराँ की ख़बर आएगी
सुर्ख़ फूलों का बड़े नाज़ से गूँधे हुए हार
कल इसी ख़ाक पे गुल-रंग सहर आएगी
कल इसी ख़ाक के ज़र्रों में समा जाएगा रंग
कल मिरे प्यार की तस्वीर उभर आएगी
ऐ मिरी रूह-ए-चमन ख़ाक-ए-लहद से तेरी
आज भी मुझ को तिरे प्यार की बू आती है
ज़ख़्म सीने के महकते हैं तिरी ख़ुश्बू से
वो महक है कि मिरी साँस घुटी जाती है
मुझ से क्या बात बनाएगी ज़माने की जफ़ा
मौत ख़ुद आँख मिलाते हुए शरमाती है
मैं और इन आँखों से देखूँ तुझे पैवंद-ए-ज़मीं
इस क़दर ज़ुल्म नहीं हाए नहीं हाए नहीं
कोई ऐ काश बुझा दे मिरी आँखों के दिए
छीन ले मुझ से कोई काश निगाहें मेरी
ऐ मिरी शम-ए-वफ़ा ऐ मिरी मंज़िल के चराग़
आज तारीक हुई जाती हैं राहें मेरी
तुझ को रोऊँ भी तो क्या रोऊँ कि इन आँखों में
अश्क पत्थर की तरह जम से गए हैं मेरे
ज़िंदगी अर्सा-गह-ए-जोहद-ए-मुसलसल ही सही
एक लम्हे को क़दम थम से गए हैं मेरे
फिर भी इस अर्सा-गह-ए-जोहद-ए-मुसलसल से मुझे
कोई आवाज़ पे आवाज़ दिए जाता है
आज सोता ही तुझे छोड़ के जाना होगा
नाज़ ये भी ग़म-ए-दौराँ का उठाना होगा
ज़िंदगी देख मुझे हुक्म-ए-सफ़र देती है
इक दिल-ए-शोला-ब-जाँ साथ लिए जाता हूँ
हर क़दम तू ने कभी अज़्म-ए-जवाँ बख़्शा था!
मैं वही अज़्म-ए-जवाँ साथ लिए जाता हूँ
चूम कर आज तिरी ख़ाक-ए-लहद के ज़र्रे
अन-गिनत फूल मोहब्बत के चढ़ाता जाऊँ
जाने इस सम्त कभी मेरा गुज़र हो कि न हो
आख़िरी बार गले तुझ को लगाता जाऊँ
लखनऊ मेरे वतन मेरे चमन-ज़ार वतन
देख इस ख़ाक को आँखों में बसा कर रखना
इस अमानत को कलेजे से लगा कर रखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Mehfil Shayari Shayari