hujoom-e-yaas mein bhi aas jaavedaan thehri
ye apni dharti ki boo-baas-e-be-karaan thehri
vo rokte rahe mulkon ki sarhadon ke pare
kashish dilon ki to purvaai thi kahaan thehri
ummeed-o-beem mein kitne kanwal hue raushan
tumhaari chashm-e-tagaaful jahaan jahaan thehri
numood-e-fikr ne kitne banaaye ret pe naqsh
main kya karoon ki ye tasveer be-zabaan thehri
har ek kaasa-e-sar hai faqeer ka piyaala
zabaan sawaali-e-bekas to be-zabaan thehri
wahi hayaat jo sab ke liye thi raahat-e-jaan
wahi mere liye ik marg-e-be-amaan thehri
kahi ifaada kahi mol-tol ki baatein
ye fikr-e-nau to kisi baniye ki dukaaan thehri
हुजूम-ए-यास में भी आस जावेदाँ ठहरी
ये अपनी धरती की बू-बास-ए-बे-कराँ ठहरी
वो रोकते रहे मुल्कों की सरहदों के परे
कशिश दिलों की तो पुर्वाई थी कहाँ ठहरी
उम्मीद-ओ-बीम में कितने कँवल हुए रौशन
तुम्हारी चश्म-ए-तग़ाफ़ुल जहाँ जहाँ ठहरी
नुमूद-ए-फ़िक्र ने कितने बनाए रेत पे नक़्श
मैं क्या करूँ कि ये तस्वीर बे-ज़बाँ ठहरी
हर एक कासा-ए-सर है फ़क़ीर का पियाला
ज़बाँ सवाली-ए-बेकस तो बे-ज़बाँ ठहरी
वही हयात जो सब के लिए थी राहत-ए-जाँ
वही मिरे लिए इक मर्ग-ए-बे-अमाँ ठहरी
कहीं इफ़ादा कहीं मोल-तोल की बातें
ये फ़िक्र-ए-नौ तो किसी बनिए की दुकाँ ठहरी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Raza
our suggestion based on Jafar Raza
As you were reading Baaten Shayari Shayari