aadmi tha kya wahi ik kaam ka | आदमी था क्या वही इक काम का

  - Jagdeesh Raj Figar

aadmi tha kya wahi ik kaam ka
arz par jis ka koi maskan na tha

jo kisi ne pairhan mujh ko diya
vo mere hi tan ka hissa ban gaya

ham the judwaa is liye tan ek tha
ek sarjan ne alag ham ko kiya

jal mein jab tak main raha zinda raha
tat pe saagar ke main aa kar mar gaya

jab kabhi main sochne kuchh lag pada
door tak phir silsila chalta raha

main zameen par ik tarah ka bojh tha
vo to maa thi us ko ye sahna pada

vajd mein aata kabhi to ped ki
tehniyon par chadh ke akshar jhoolta

tha main saalik ik anokha dehr mein
jo bhi maslak mil gaya main chal pada

aalam-e-jabroot ka saakin tha main
aalam-e-sifli mein kaise aa gaya

haadse ko rokna tha is liye
raaste par ho gaya ja kar khada

band karte the kabhi the khholte
roop darwaaze ka mujh ko kya mila

late jaata peeth ke bal farsh par
dekh leta jab bhi aate mein qaza

jo samaavi the qamar par ja base
main tha khaaki dehr mein hi rah gaya

mujh ko dena tha figaar un ka jawaab
chitthiyon ka saamne ambaar tha

आदमी था क्या वही इक काम का
अर्ज़ पर जिस का कोई मस्कन न था

जो किसी ने पैरहन मुझ को दिया
वो मिरे ही तन का हिस्सा बन गया

हम थे जुड़वाँ इस लिए तन एक था
एक सर्जन ने अलग हम को किया

जल में जब तक मैं रहा ज़िंदा रहा
तट पे सागर के मैं आ कर मर गया

जब कभी मैं सोचने कुछ लग पड़ा
दूर तक फिर सिलसिला चलता रहा

मैं ज़मीं पर इक तरह का बोझ था
वो तो माँ थी उस को ये सहना पड़ा

वज्द में आता कभी तो पेड़ की
टहनियों पर चढ़ के अक्सर झूलता

था मैं सालिक इक अनोखा दहर में
जो भी मस्लक मिल गया मैं चल पड़ा

आलम-ए-जबरूत का साकिन था मैं
आलम-ए-सिफ़्ली में कैसे आ गया

हादसे को रोकना था इस लिए
रास्ते पर हो गया जा कर खड़ा

बंद करते थे कभी थे खोलते
रूप दरवाज़े का मुझ को क्या मिला

लेट जाता पीठ के बल फ़र्श पर
देख लेता जब भी आते में क़ज़ा

जो समावी थे क़मर पर जा बसे
मैं था ख़ाकी दहर में ही रह गया

मुझ को देना था 'फ़िगार' उन का जवाब
चिट्ठियों का सामने अम्बार था

  - Jagdeesh Raj Figar

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagdeesh Raj Figar

As you were reading Shayari by Jagdeesh Raj Figar

Similar Writers

our suggestion based on Jagdeesh Raj Figar

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari