bujhi bujhi si hai aankhon ki raushni meri
vo kya gaye ki gai saath zindagi meri
tiri khushi se to badh kar nahin khushi meri
tiri khushi hi pe sadqe hai zindagi meri
bana raha tha main tasveer gham ke maaron ki
ye kya hua ki vo tasveer ban gai meri
zamaana kitna hai maanoos meri haalat se
badal badal ke kahaani likhi gai meri
vo kya nibhaayenge ab khaak dard ka rishta
unhen to lagti hai soorat bhi ajnabi meri
sabhi the doobe hue apne jaam-o-saaghar mein
koi to dekhta aankhon ki tishnagi meri
khayal aap ka aaya to bhar gaeein aankhen
hayaat kitni hai hassaas aaj bhi meri
abhi se aaina kyun rakh diya mere aage
abhi to waqt ne dekhi nahin chhabi meri
main dekhta raha aankhon se apni barbaadi
kisi ne loot li duniya se har khushi meri
chalo khayal to aaya unhen kabhi mera
ye aur baat ki hasrat nikal gai meri
main is fareb mein jeeta raha sehar ab tak
ki un ke vaaste sab kuchh hai zindagi meri
बुझी बुझी सी है आँखों की रौशनी मेरी
वो क्या गए कि गई साथ ज़िंदगी मेरी
तिरी ख़ुशी से तो बढ़ कर नहीं ख़ुशी मेरी
तिरी ख़ुशी ही पे सदक़े है ज़िंदगी मेरी
बना रहा था मैं तस्वीर ग़म के मारों की
ये क्या हुआ कि वो तस्वीर बन गई मेरी
ज़माना कितना है मानूस मेरी हालत से
बदल बदल के कहानी लिखी गई मेरी
वो क्या निभाएँगे अब ख़ाक दर्द का रिश्ता
उन्हें तो लगती है सूरत भी अजनबी मेरी
सभी थे डूबे हुए अपने जाम-ओ-साग़र में
कोई तो देखता आँखों की तिश्नगी मेरी
ख़याल आप का आया तो भर गईं आँखें
हयात कितनी है हस्सास आज भी मेरी
अभी से आइना क्यों रख दिया मिरे आगे
अभी तो वक़्त ने देखी नहीं छबी मेरी
मैं देखता रहा आँखों से अपनी बर्बादी
किसी ने लूट ली दुनिया से हर ख़ुशी मेरी
चलो ख़याल तो आया उन्हें कभी मेरा
ये और बात कि हसरत निकल गई मेरी
मैं इस फ़रेब में जीता रहा 'सहर' अब तक
कि उन के वास्ते सब कुछ है ज़िंदगी मेरी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagjeewan Lal Asthana sahar
our suggestion based on Jagjeewan Lal Asthana sahar
As you were reading Life Shayari Shayari